rang-e-guftugu
Interesting Fact
(12th January, 1968)
naaz thā ḳhūbi-e-guftār pe mujh ko lekin
aaj phūloñ ne pukārā mujhe rañg-o-bū se
tū nazar aayā ki patthar bhī zabāñ rakhte haiñ
har makāñ makīnoñ kī hai tafsīr-e-nazar
shaukat-e-shāh kā unvān banā us kā mahal
sañg-e-dīvār ne dī us ke tahaffuz ko zabāñ
jhoñpaḌī ġhurbat-e-mazdūr kī hai marsiyāñ-ḳhvāñ
chīthḌe chīḳhte haiñ jeb kī nādārī par
ābla-pā.ī se aatī hai safar kī ḳhushbū
gard-e-malbūs se miltī hai musāfir kī ḳhabar
kis kī āvāz sunūñ kis kī sadā par bolūñ
naz tha KHubi-e-guftar pe mujh ko lekin
aaj phulon ne pukara mujhe rang-o-bu se
tu nazar aaya ki patthar bhi zaban rakhte hain
har makan makinon ki hai tafsir-e-nazar
shaukat-e-shah ka unwan bana us ka mahal
sang-e-diwar ne di us ke tahaffuz ko zaban
jhonpaDi ghurbat-e-mazdur ki hai marsiyan-KHwan
chithDe chiKHte hain jeb ki nadari par
aabla-pai se aati hai safar ki KHushbu
gard-e-malbus se milti hai musafir ki KHabar
kis ki aawaz sunun kis ki sada par bolun
- Book : Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 346)
- Author : Munavvar Jameel
- Publication : Haji Haneef Printer Lahore (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.