rang-e-siyah ke nam ek nazm
kisī nigro ke tanomand paikar kī mānind
ye sāhilī ābnūsī chaTTāneñ
ki jin ke kaTāv
samundar kī saffāk maujoñ ke baḳhshe hue
ghaav meñ
vo samundar jo hai nīlgūñ
niilī āñkhoñ kī mānind
aur jis kī lahroñ ke hāthoñ meñ
ḳhanjar ke phal kī tarah jagmagātā huā nuqra.ī jhaag hai
mauj-dar-mauj yalġhār hai ḳhanjaroñ kī
chaTTānoñ ke siine hadaf haiñ
ye chaTTāneñ
jo pā-basta be-zindagī aur tanhā khaḌī haiñ
samundar ke is nīlgūñ ā.īne se bahut duur
uupar khule āsmān pur
fazā meñ bhaTakte hue abr-pāroñ ko
sākit jahāzoñ ke arshoñ pa mañDlāne vaale
safed aur āzād ābī-parindoñ ko
sadiyoñ se dekhe chalī jā rahī haiñ
magar kyā ye mumkin nahīñ
in chaTTānoñ ko is qaid se aur tanhā.ī se
ho ke āzād
un tā.eroñ bādaloñ titliyoñ kī tarah
sabza-zāroñ khule pāniyoñ aur raushan fazāoñ meñ
lahrāte phirne kī hasrat bhī ho
hai agar yuuñ to phir
un siyah-fām be-bas chaTānoñ ko
izn-e-rihā.ī bhalā kaun de
kisi nigro ke tanomand paikar ki manind
ye sahili aabnusi chaTTanen
ki jin ke kaTaw
samundar ki saffak maujon ke baKHshe hue
ghaw mein
wo samundar jo hai nilgun
nili aankhon ki manind
aur jis ki lahron ke hathon mein
KHanjar ke phal ki tarah jagmagata hua nuqrai jhag hai
mauj-dar-mauj yalghaar hai KHanjaron ki
chaTTanon ke sine hadaf hain
ye chaTTanen
jo pa-basta be-zindagi aur tanha khaDi hain
samundar ke is nilgun aaine se bahut dur
upar khule aasman pur
faza mein bhaTakte hue abr-paron ko
sakit jahazon ke arshon pa manDlane wale
safed aur aazad aabi-parindon ko
sadiyon se dekhe chali ja rahi hain
magar kya ye mumkin nahin
in chaTTanon ko is qaid se aur tanhai se
ho ke aazad
un taeron baadalon titliyon ki tarah
sabza-zaron khule paniyon aur raushan fazaon mein
lahraate phirne ki hasrat bhi ho
hai agar yun to phir
un siyah-fam be-bas chaTanon ko
izn-e-rihai bhala kaun de
- Book : siip (Magzin) (Pg. 170)
- Author : Nasiim Durraani
- Publication : Fikr-e-Nau ( 39 (Quarterly) )
- Edition : 39 (Quarterly)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.