rang
har din
do kal hote haiñ
aane vaalā kal
guzrā huā kal
aaj ham aane vaale kal ke
kuchh ḳhvāb dekhte haiñ
achchhe mīThe rangīn
aane vaalā kal
jab guzrā kal hotā hai
saare ḳhvāb TuuT jaate haiñ
saare rang bikhar jaate haiñ
saarī miThās zahr meñ badal jaatī hai
zindagī
imroz fardā ke darmiyāñ biit jaatī hai
saare rang bikhar jaate haiñ
saare sapne TuuT jaate haiñ
har din
do kal hote hain
aane wala kal
guzra hua kal
aaj hum aane wale kal ke
kuchh KHwab dekhte hain
achchhe miThe rangin
aane wala kal
jab guzra kal hota hai
sare KHwab TuT jate hain
sare rang bikhar jate hain
sari miThas zahr mein badal jati hai
zindagi
imroz farda ke darmiyan bit jati hai
sare rang bikhar jate hain
sare sapne TuT jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.