rangon ka taqaddus
mujhe sab ḳhabar hai
use bhī patā hai ki
ab vus.atoñ meñ nahīñ aur kuchh bhī
faqat vus.ateñ haiñ
hameñ rangoñ kā indrjālī taqaddus
uThā.e uThā.e
safar kī sa.ūbat yuuñ hī jhelnī hai
ḳhabar hai ki
ḳhushbū kā ākār kuchh bhī nahīñ hai
pata hai ki
lams ik qabā DhūñDhtā hai
nafas nezoñ hī par
havāoñ ke sar ko
uThā.e uThā.e
yuuñ hī ghūmtā hai
jab tak
kamīñ-gāh se vo na nikleñ
ḳhushbū ke ḳhvāboñ kī fitrat na badle
rangoñ kā ye indrjālī
taqaddus na TuuTe
sab kuchh patā hai
magar mutma.in haiñ
mujhe sab KHabar hai
use bhi pata hai ki
ab wusaton mein nahin aur kuchh bhi
faqat wusaten hain
hamein rangon ka indrjali taqaddus
uThae uThae
safar ki saubat yun hi jhelni hai
KHabar hai ki
KHushbu ka aakar kuchh bhi nahin hai
pata hai ki
lams ek qaba DhunDhta hai
nafas nezon hi par
hawaon ke sar ko
uThae uThae
yun hi ghumta hai
jab tak
kamin-gah se wo na niklen
KHushbu ke KHwabon ki fitrat na badle
rangon ka ye indrjali
taqaddus na TuTe
sab kuchh pata hai
magar mutmain hain
- Book : Bayazain Kho Gayee Hain (Pg. 40)
- Author : Sheen Kaaf Nizam
- Publication : Vag Devi Parkashan, Biconer (Rajisthan) (1997)
- Edition : 1997
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.