rangoon ka mushaera
mujhe rangōn se jab dāvat-e-sher-o-suḳhan aa.ī
tabī.at fāsle aur vaqt ke chakkar se ghabrā.ī
dil-e-bargashta ko lekin ye maiñ ne baat samjhā.ī
''nahīñ kuchh sub.ha-o-zunnār ke phande maiñ gīrā.ī''
''vafādārī meñ shaiḳh o barhaman kī āzmā.ish hai''
vahāñ rañgīni-e-sher-o-suḳhan kī āzmā.ish hai
karachi se piyā kī god meñ hindostāñ aayā
na.ī dehlī se kahne ko purānī dāstāñ aayā
javānī ke liye yādeñ maiñ sū-e-gulistāñ aayā
barā.e ahl-e-mahfil aur ba-yād-e-raftagāñ aayā
vo maskan thā vo madfan hai bahut se ahl-e-īmāñ kā
''vo ik gul-dasta hai ham be-ḳhudoñ ke tāq-e-nisyāñ kaa''
vo aisī sarzamīñ hai jis meñ ahl-e-dil abhī tak haiñ
jo shaiḳh o barhaman urdu ke haiñ qābil abhī tak haiñ
nishān-e-'mīr'-o-'ġhālib', 'dāġh' aur 'sā.il' abhī tak haiñ
jo sham.eñ bach ga.ī haiñ raunaq-e-mahfil abhī tak haiñ
''namī goyam darīñ gulshan gul-o-bāġh-o-bahār az man
''bahār az yaar o baaġh az yaar o gul az yaar o yaar az man''
uḌā dehlī se aur uḌ kar maiñ kalkatta meñ aa pahuñchā
thakā-hārā huā sāhil pe jaise nāḳhudā pahuñchā
maiñ apne sunñe vāloñ ke liye ban kar sadā pahuñchā
chalā urdu kī ḳhātir az-kujā aur tā-kujā pahuñchā
mirī urdu tirī ulfat meñ ab rangōn aayā huuñ
tire ushshāq kī mahfil meñ kuchh mazmūn laayā huuñ
mujhe rangoon se jab dawat-e-sher-o-suKHan aai
tabiat fasle aur waqt ke chakkar se ghabrai
dil-e-bargashta ko lekin ye main ne baat samjhai
nahin kuchh subha-o-zunnar ke phande main girai
wafadari mein shaiKH o barhaman ki aazmaish hai
wahan rangini-e-sher-o-suKHan ki aazmaish hai
karachi se piya ki god mein hindostan aaya
nai dehli se kahne ko purani dastan aaya
jawani ke liye yaaden main su-e-gulistan aaya
barae ahl-e-mahfil aur ba-yaad-e-raftagan aaya
wo maskan tha wo madfan hai bahut se ahl-e-iman ka
wo ek gul-dasta hai hum be-KHudon ke taq-e-nisyan ka
wo aisi sarzamin hai jis mein ahl-e-dil abhi tak hain
jo shaiKH o barhaman urdu ke hain qabil abhi tak hain
nishan-e-'mir'-o-'ghaalib', 'dagh' aur 'sail' abhi tak hain
jo shamen bach gai hain raunaq-e-mahfil abhi tak hain
nami goyam darin gulshan gul-o-bagh-o-bahaar az man
bahaar az yar o bagh az yar o gul az yar o yar az man
uDa dehli se aur uD kar main kalkatta mein aa pahuncha
thaka-haara hua sahil pe jaise naKHuda pahuncha
main apne sunne walon ke liye ban kar sada pahuncha
chala urdu ki KHatir az-kuja aur ta-kuja pahuncha
meri urdu teri ulfat mein ab rangoon aaya hun
tere ushshaq ki mahfil mein kuchh mazmun laya hun
- Book : Teer-e-Neem Kash (Pg. 78)
- Author : Sayed Mohammad Jafri
- Publication : Sang-e-Meel Publications, Lahore (P.k.) (2007)
- Edition : 2007
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.