raqib-e-shauq
ham abhī kuchh der pahle saath the
shahr saarā yuuñ lagā thā
jaise apne hī ta.āqub meñ
kiran sūraj kī thāme chal rahā hai
us kī āñkheñ ban ke pathrā uTh rahī thiiñ
qurb ke ā.īne chhan se TuuT kar reza hue the
hoñT apne sil ga.e the
jism apne jal ga.e the
ham bichhaḌ ke nā-murādoñ kī tarah vāpas hue to
shahr saarā ajnabī sā ho gayā hai
us kī āñkhoñ par siyāh paTTī bañdhī hai
hum abhi kuchh der pahle sath the
shahr sara yun laga tha
jaise apne hi taaqub mein
kiran suraj ki thame chal raha hai
us ki aankhen ban ke pathra uTh rahi thin
qurb ke aaine chhan se TuT kar reza hue the
honT apne sil gae the
jism apne jal gae the
hum bichhaD ke na-muradon ki tarah wapas hue to
shahr sara ajnabi sa ho gaya hai
us ki aankhon par siyah paTTi bandhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.