raqqasa-e-geti
dā.eroñ meñ ghirī raqs kartī rahī
apne mehvar pe rah kar thiraktī rahī
dhuup meñ chāñdnī meñ har ik gaam par
kashmakash se jahāñ ke guzartī rahī
badliyāñ jhuum kar ḳhuub barsīñ magar
meñh barastā rahā maiñ jhulastī rahī
nek-o-bad kī tarāzū uThā.e hue
apne jazbāt meñ aap ghuTtī rahī
āsmānoñ se barsī huī aag se
pāra-pāra huī ki jhulastī rahī
zulm ke pāsbānoñ ke saaye tale
zaḳhm khātī rahī vaar sahtī rahī
kitne tūfāñ mujhe rauñd kar baḌh ga.e
zalzaloñ kī tabāhī bhī sahtī rahī
dā.eroñ se nikalnā to mumkin na thā
dā.eroñ meñ ghirī raqs kartī rahī
daeron mein ghiri raqs karti rahi
apne mehwar pe rah kar thirakti rahi
dhup mein chandni mein har ek gam par
kashmakash se jahan ke guzarti rahi
badliyan jhum kar KHub barsin magar
meinh barasta raha main jhulasti rahi
nek-o-bad ki taraazu uThae hue
apne jazbaat mein aap ghuTti rahi
aasmanon se barsi hui aag se
para-para hui ki jhulasti rahi
zulm ke pasbanon ke saye tale
zaKHm khati rahi war sahti rahi
kitne tufan mujhe raund kar baDh gae
zalzalon ki tabahi bhi sahti rahi
daeron se nikalna to mumkin na tha
daeron mein ghiri raqs karti rahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.