raqqasa-e-hayat se
phūloñ pe raqs aur na bahāroñ pe raqs kar
gulzār-e-hast-e-būd meñ ḳhāroñ pe raqs kar
ho kar jumūd-e-gulshan-e-jannat se be-niyāz
dozaḳh ke be-panāh sharāroñ pe raqs kar
sham-e-sahar fusūn-e-tabassum, hayāt-e-gul
fitrat ke in ajiib nazāroñ pe raqs kar
tanzīm-e-kā.enāt-e-junūñ kī hañsī uḌā
ujḌe hue chaman kī bahāroñ pe raqs kar
sahmī huī sadā-e-dil-e-nā-tavāñ na sun
bahkī huī nazar ke ishāroñ par raqs kar
jo mar ke jī rahe the tujhe un se kyā ġharaz
tū apne āshiqoñ ke mazāroñ pe raqs kar
har har adā ho ruuh kī gahrā.iyoñ meñ gum
yuuñ rañg-o-bū kī rāh-guzāroñ pe raqs kar
tū apnī dhun meñ mast hai tujh ko batā.e kaun
terī zamīñ falak hai sitāroñ par raqs kar
is tarah raqs kar ki sarāpā asar ho tū
koī nazar uThā.e to pesh-e-nazar ho tū
phulon pe raqs aur na bahaaron pe raqs kar
gulzar-e-hast-e-bud mein KHaron pe raqs kar
ho kar jumud-e-gulshan-e-jannat se be-niyaz
dozaKH ke be-panah shararon pe raqs kar
sham-e-sahar fusun-e-tabassum, hayat-e-gul
fitrat ke in ajib nazaron pe raqs kar
tanzim-e-kaenat-e-junun ki hansi uDa
ujDe hue chaman ki bahaaron pe raqs kar
sahmi hui sada-e-dil-e-na-tawan na sun
bahki hui nazar ke ishaaron par raqs kar
jo mar ke ji rahe the tujhe un se kya gharaz
tu apne aashiqon ke mazaron pe raqs kar
har har ada ho ruh ki gahraiyon mein gum
yun rang-o-bu ki rah-guzaron pe raqs kar
tu apni dhun mein mast hai tujh ko batae kaun
teri zamin falak hai sitaron par raqs kar
is tarah raqs kar ki sarapa asar ho tu
koi nazar uThae to pesh-e-nazar ho tu
- Book : Kulliyat Shakeel (Pg. 327)
- Publication : Fareed Book Depot Pvt. Ltd.
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.