raqqasa
tum nahīñ jānte ho mujhe
is se hāsil hī kyā hai magar
tumheñ jaan kar apnī pahchān kho.e hue
maiñ tumhāre ishāroñ pe raqsāñ rahī
eḌiyoñ meñ ka.ī baar ghuñgrū kuaañ khod kar mar ga.e
raqs kā zābta hai ki thaknā nahīñ hai
jahāñ tak tabalchī kī thāpeñ paḌeñ
tabla bajtā rahe raqs chaltā rahe
maiñ raqqāsa huuñ
raqs pesha hai merā
magar tum tamāshā.ī ho kar tamāshe pe hī mo.atakif kyoñ nahīñ ho
mirā har tamāshā.ī kī aañkh meñ ḳhvāb ban kar utarnā
har ik god meñ hādisa ban ke girnā
tamannāoñ ko tābnākī se māmūr karnā
kahīñ par bikharnā kahīñ par simaTnā
simaTnā bikharnā bikharnā simaTnā
qadam thartharā ke
achānak se ruk jaanā likkhā huā hai
mujhe raqs meñ mahv hī mat samajhnā
maiñ paslī kī taḳhlīq huuñ
āḌe-tirchhe sabhī zāviye ḳhuub pahchāntī huuñ
raqs pesha hai merā
maiñ sab jāntī huuñ
tum nahin jaante ho mujhe
is se hasil hi kya hai magar
tumhein jaan kar apni pahchan khoe hue
main tumhaare ishaaron pe raqsan rahi
eDiyon mein kai bar ghungru kuan khod kar mar gae
raqs ka zabta hai ki thakna nahin hai
jahan tak tabalchi ki thapen paDen
tabla bajta rahe raqs chalta rahe
main raqqasa hun
raqs pesha hai mera
magar tum tamashai ho kar tamashe pe hi moatakif kyon nahin ho
mera har tamashai ki aankh mein KHwab ban kar utarna
har ek god mein hadisa ban ke girna
tamannaon ko tabnaki se mamur karna
kahin par bikharna kahin par simaTna
simaTna bikharna bikharna simaTna
qadam tharthara ke
achanak se ruk jaana likkha hua hai
mujhe raqs mein mahw hi mat samajhna
main pasli ki taKHliq hun
aaDe-tirchhe sabhi zawiye KHub pahchanti hun
raqs pesha hai mera
main sab jaanti hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.