raqs-e-bismil
chāñd meñ jo ThanDak hai
mehr meñ jo garmī hai
jo havā meñ narmī hai
kahkashāñ chamaktī hai
duur āsmānoñ meñ
kitnī bastiyāñ hoñgī
ajnabī jahānoñ meñ
aadmī to zarra hai
balki is se kamtar hai
tere bas meñ sūraj hai
aur haiñ samundar bhī
jis qadar bhī paanī hai
terī mehrbānī hai
har kiran ujāle kī
ye zamīn bhī terī
āsmān bhī terā
lā-makān bhī terā
aur makān bhī terā hai
tū hī sab kā mālik hai
terī mehrbānī hai
tere hukm ke taabe
phuul ho ki ḳhushbū ho
jannat ho ki dozaḳh ho
donoñ tere bande haiñ
zulm karne vaale bhī
zulm sahne vaale bhī
zulm karne vāloñ ko
kyoñ sazā nahīñ miltī
rizq sab ko miltā hai
ek hai ġhanī in meñ
dūsrā bhikārī hai
zālimoñ kī mahfil meñ
ab bhī raqs-e-bismil hai
terī hukmrānī meñ
zulm ab bhī jaarī hai
ismateñ kyoñ luTtī haiñ
in siyāh rātoñ meñ
tū hai qādir-e-mutlaq
zulm karne vāloñ se
ehtisāb kab hogā
har lahū ke qatre kā
yaañ hisāb kab hogā
inqalāb kab hogā
zulm sahne vāloñ ko
hukm de baġhāvat kā
zulm karne vāloñ kī
gardaneñ uḌā Dāleñ
haath jo uTheñ un par
un ko kaaT kar rakh deñ
pand aur nasā.eh se
zulm ruk nahīñ saktā
sirf ek rastā hai
zulm karne vāloñ ke
haath hī qalam kar do
chand mein jo ThanDak hai
mehr mein jo garmi hai
jo hawa mein narmi hai
kahkashan chamakti hai
dur aasmanon mein
kitni bastiyan hongi
ajnabi jahanon mein
aadmi to zarra hai
balki is se kamtar hai
tere bas mein suraj hai
aur hain samundar bhi
jis qadar bhi pani hai
teri mehrbani hai
har kiran ujale ki
ye zamin bhi teri
aasman bhi tera
la-makan bhi tera
aur makan bhi tera hai
tu hi sab ka malik hai
teri mehrbani hai
tere hukm ke tabe
phul ho ki KHushbu ho
jannat ho ki dozaKH ho
donon tere bande hain
zulm karne wale bhi
zulm sahne wale bhi
zulm karne walon ko
kyon saza nahin milti
rizq sab ko milta hai
ek hai ghani in mein
dusra bhikari hai
zalimon ki mahfil mein
ab bhi raqs-e-bismil hai
teri hukmrani mein
zulm ab bhi jari hai
ismaten kyon luTti hain
in siyah raaton mein
tu hai qadir-e-mutlaq
zulm karne walon se
ehtisab kab hoga
har lahu ke qatre ka
yan hisab kab hoga
inqalab kab hoga
zulm sahne walon ko
hukm de baghawat ka
zulm karne walon ki
gardanen uDa Dalen
hath jo uThen un par
un ko kaT kar rakh den
pand aur nasaeh se
zulm ruk nahin sakta
sirf ek rasta hai
zulm karne walon ke
hath hi qalam kar do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.