raqs-e-wahshat karun
maiñ umīdoñ kī ye bujhtī kirneñ liye
yuuñ añdheroñ meñ kab tak bhaTaktī phirūñ
apne zaḳhmoñ pe phailā.ūñ maiñ kab talak
be-sadā ḳhvāhishoñ kī sulagtī qabā
aur phir kab talak
tishnagī ke jo paivand haiñ jā-ba-jā
is jahāñ kī nazar se chhupātī phirūñ
kab talak maiñ sunūñ naġhma-e-zindagī
har ukhaḌtī huī saañs ke saaz par
kab talak yuuñ jamā.e rahūñ maiñ qadam
vaqt kī is ḳhatarnāk Dhalvān par
jis kī phislan liye jā rahī hai use
duur mujh se bahut duur jaane kidhar
din-ba-din us kī mādūm hotī huī
dhundlī dhundlī sī parchhā.iyāñ dekh kar
jī kahe
aatmā kā galā ghoñT duuñ
aur phir yaas ke tilmilāte hue
andhe vahshī bagūloñ kī yūrish banūñ
raqs-e-vahshat karūñ
main umidon ki ye bujhti kirnen liye
yun andheron mein kab tak bhaTakti phirun
apne zaKHmon pe phailaun main kab talak
be-sada KHwahishon ki sulagti qaba
aur phir kab talak
tishnagi ke jo paiwand hain ja-ba-ja
is jahan ki nazar se chhupati phirun
kab talak main sunun naghma-e-zindagi
har ukhaDti hui sans ke saz par
kab talak yun jamae rahun main qadam
waqt ki is KHatarnak Dhalwan par
jis ki phislan liye ja rahi hai use
dur mujh se bahut dur jaane kidhar
din-ba-din us ki madum hoti hui
dhundli dhundli si parchhaiyan dekh kar
ji kahe
aatma ka gala ghonT dun
aur phir yas ke tilmilate hue
andhe wahshi bagulon ki yurish banun
raqs-e-wahshat karun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.