raqs
in mah-o-sāl par dastaras to nahīñ
ek lamha magar jī rahe haiñ jo ham
dastaras meñ bhī hai
aur bas meñ bhī hai
kyoñ na is lamha-e-mehrbāñ ko mohabbat ke rañgoñ meñ gūñdheñ
kahānī banā deñ
use lamha-e-jāvedānī banā deñ
ki haftoñ mahīnoñ pe sāloñ pe taarī rahe
mohlat zindagī se nikal ke bhī
is kā.enāt-e-taġhayyur meñ jaarī rahe
us kā phailāo sadiyoñ pe bhārī rahe
raqs jaarī rahe
in mah-o-sal par dastaras to nahin
ek lamha magar ji rahe hain jo hum
dastaras mein bhi hai
aur bas mein bhi hai
kyon na is lamha-e-mehrban ko mohabbat ke rangon mein gundhen
kahani bana den
use lamha-e-jawedani bana den
ki hafton mahinon pe salon pe tari rahe
mohlat zindagi se nikal ke bhi
is kaenat-e-taghayyur mein jari rahe
us ka phailao sadiyon pe bhaari rahe
raqs jari rahe
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.