raqs
naach haañ naach ki har shorish-o-hañgāma par
phail jaa.e tirī jhan-jhan kā hasīñ pairāhan
naach haañ naach ki siine meñ tire
ek motī kī tarah raaz zamāne kā simaT kar rah jaa.e
bāzuoñ ko kabhī hone de darāz
jam.a karne de ḳhad-o-ḳhāl kabhī apnī hasīñ āñkhoñ ko
farsh-e-āvāz pe rakh apne pur-asrār qadam
aur chamakte hue sañgīt kā jaadū pī jā
naach sad-nashsha-o-shādābī se
nāchtī jā isī mastī meñ ki tū ek kañval ban jaa.e
aur tujh ko kisī tālāb ke siine meñ utaar aa.eñ ham
bhuut aa kar tirī rañgat meñ baserā kar leñ
aur ham
būḌhe daraḳhtoñ kī kuhan-sāl laTaktī huī shāḳhoñ
se lipaT kar ro.eñ
sāl-hā-sāl lipaT kar ro.eñ
nach han nach ki har shorish-o-hangama par
phail jae teri jhan-jhan ka hasin pairahan
nach han nach ki sine mein tere
ek moti ki tarah raaz zamane ka simaT kar rah jae
bazuon ko kabhi hone de daraaz
jama karne de KHad-o-KHal kabhi apni hasin aankhon ko
farsh-e-awaz pe rakh apne pur-asrar qadam
aur chamakte hue sangit ka jadu pi ja
nach sad-nashsha-o-shadabi se
nachti ja isi masti mein ki tu ek kanwal ban jae
aur tujh ko kisi talab ke sine mein utar aaen hum
bhut aa kar teri rangat mein basera kar len
aur hum
buDhe daraKHton ki kuhan-sal laTakti hui shaKHon
se lipaT kar roen
sal-ha-sal lipaT kar roen
- Book : Kulliyat-e-bani (Pg. 106)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.