raqs
mire ham-raqs
maiñ jab eḌiyāñ apnī uThā kar
tumhāre mazbūt kandhoñ se pare
pas-manzar meñ raqsāñ ziist ko
vafā kā giit gaate dekhtī huuñ
to mirī masrūr āñkheñ
vafūr-e-ishq se be-tāb ho kar kāñptī haiñ
mire chehre ko
palkoñ kā naġhma surḳh kartā hai
badan kā ḳhuun ruḳhsāroñ pe sho.ale pheñktā hai
mohabbat maañg meñ merī
rupahlī aur sunahrī
afshāñ chhiḌaktī hai
maiñ apnī garm sāñsoñ se
mahakte aur ujle ḳhushnumā collar tale
tumhārī gandumī
chamkīlī damaktī jild chhūtī huuñ
mire mahbūb lamhe machalte jugnuoñ jaise
mire malbūs ke lahre se mil kar
dā.eroñ meñ jhilmilāte haiñ
tum apne bāzuoñ kī
giraft-e-be-panāh ko zarā kam karo
ki maiñ
tumhārī dhaḌkanoñ kī taal par paañv uThā.ūñ
mujhe Dar hai mirā dil rāsta na bhuul jaa.e
mutriba
saaz bajā
mere ham-raqs
main jab eDiyan apni uTha kar
tumhaare mazbut kandhon se pare
pas-manzar mein raqsan zist ko
wafa ka git gate dekhti hun
to meri masrur aankhen
wafur-e-ishq se be-tab ho kar kanpti hain
mere chehre ko
palkon ka naghma surKH karta hai
badan ka KHun ruKHsaron pe shoale phenkta hai
mohabbat mang mein meri
rupahli aur sunahri
afshan chhiDakti hai
main apni garm sanson se
mahakte aur ujle KHushnuma collar tale
tumhaari gandumi
chamkili damakti jild chhuti hun
mere mahbub lamhe machalte jugnuon jaise
mere malbus ke lahre se mil kar
daeron mein jhilmilate hain
tum apne bazuon ki
giraft-e-be-panah ko zara kam karo
ki main
tumhaari dhaDkanon ki tal par panw uThaun
mujhe Dar hai mera dil rasta na bhul jae
mutriba
saz baja
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.