raqs
sukūt khulne lagā hai
tanhā.ī chahchahātī hai bām-o-dar par
maiñ apne ābā.ī ghar kī pichhlī shikasta sīḌhī pe sar jhukā.e
guzishta sadiyoñ ko gin rahī huuñ
safed aur surḳh pattharoñ kā makān ab
mom ban ke mujh par Tapak rahā hai pighal rahā hai
sabhī diye bujh chuke haiñ yaañ tāq-e-ārzū ke
kitāb-e-rafta ke kuchh varaq bas khule hue haiñ
ki jin kā mujh ko amiiñ banāyā safīr-e-shab ne
kuchh is tarah gardish-e-mah-o-sāl kī namī se
ye gal rahe haiñ
ki in meñ ik harf bhī salāmat nahīñ milegā
tamām ādarsh jal rahe haiñ
aur in ke sho.aloñ kī raushnī meñ
ajiib manzar ubhar rahā hai
ye sard dālān
is se aage ġhulām-gardish
ye laq-o-daq sahn DevḌhiyāñ aur baḌā ahāta
mire jilau meñ
ye kaisī parchhā.iyāñ sī har samt raqs kartī guzar rahī haiñ
ye mere aabā ke zar-ḳharīd aur ġhulām haiñ sab
hazāroñ rūheñ ba-yak zabāñ chīḳhtī hoñ jaise
ġhulām gardish meñ
ghuñgrūoñ kī ye kaisī chham-chham baras rahī hai
ye kaun sāzoñ pe haath rakkhe
lahū ke aañsū hasīn poroñ se ro rahā hai
ki jin kī āvāz Das rahī hai
aur us ke pīchhe
vo duur ḳhalvat meñ ruuh kis kī taras rahī hai
yahī vo aurat hai
jis kī āñkhoñ ko chūmne kī sitāre hasrat kareñ to ro.eñ
ye shab ke parde meñ
apne ḳhalvat-kade meñ kis ko bulā rahī hai
ye kis ko aañsū dikhā rahī hai
baḌe ahāte ke is kuñ.eñ meñ
ye nāznīnoñ kī kaisī chīḳheñ haiñ
jo muqayyad haiñ tiin nasloñ se
aur rūheñ phaḌak rahī haiñ
ye kaun DevḌhī meñ khāñstā hai
ye kaun bhūkā nahīf bachcha anaaj kī koThiyoñ ke aage
abhī abhī ro ke so gayā hai
ye sar ko niyoḌhā.e kaun laḌkī
udhar añdhere meñ ro rahī hai
ye ek goshe meñ kaun būḌhā
lahū meñ tar āstīñ chhupā.e
tamām rūhoñ se muñh churā.e
kamāñ kī sūrat jhukā huā hai
laraz rahā hai
ki mere aabā kī sabz miTTī kā shāḳhsāna
pas-e-darīcha khulā huā hai
ajab tamāshā lagā huā hai
yahī makāñ haiñ
haveliyāñ haiñ
atā-o-jūd-o-saḳhā ke markaz
tashaddud-o-jabr ke idāre
ab in meñ raqsāñ haiñ zar-ḳharīd aur ġhulām saare
sukut khulne laga hai
tanhai chahchahati hai baam-o-dar par
main apne aabai ghar ki pichhli shikasta siDhi pe sar jhukae
guzishta sadiyon ko gin rahi hun
safed aur surKH pattharon ka makan ab
mom ban ke mujh par Tapak raha hai pighal raha hai
sabhi diye bujh chuke hain yan taq-e-arzu ke
kitab-e-rafta ke kuchh waraq bas khule hue hain
ki jin ka mujh ko amin banaya safir-e-shab ne
kuchh is tarah gardish-e-mah-o-sal ki nami se
ye gal rahe hain
ki in mein ek harf bhi salamat nahin milega
tamam aadarsh jal rahe hain
aur in ke shoalon ki raushni mein
ajib manzar ubhar raha hai
ye sard dalan
is se aage ghulam-gardish
ye laq-o-daq sahn DewDhiyan aur baDa ahata
mere jilau mein
ye kaisi parchhaiyan si har samt raqs karti guzar rahi hain
ye mere aaba ke zar-KHarid aur ghulam hain sab
hazaron ruhen ba-yak zaban chiKHti hon jaise
ghulam gardish mein
ghungruon ki ye kaisi chham-chham baras rahi hai
ye kaun sazon pe hath rakkhe
lahu ke aansu hasin poron se ro raha hai
ki jin ki aawaz Das rahi hai
aur us ke pichhe
wo dur KHalwat mein ruh kis ki taras rahi hai
yahi wo aurat hai
jis ki aankhon ko chumne ki sitare hasrat karen to roen
ye shab ke parde mein
apne KHalwat-kade mein kis ko bula rahi hai
ye kis ko aansu dikha rahi hai
baDe ahate ke is kunen mein
ye nazninon ki kaisi chiKHen hain
jo muqayyad hain tin naslon se
aur ruhen phaDak rahi hain
ye kaun DewDhi mein khansta hai
ye kaun bhuka nahif bachcha anaj ki koThiyon ke aage
abhi abhi ro ke so gaya hai
ye sar ko niyoDhae kaun laDki
udhar andhere mein ro rahi hai
ye ek goshe mein kaun buDha
lahu mein tar aastin chhupae
tamam ruhon se munh churae
kaman ki surat jhuka hua hai
laraz raha hai
ki mere aaba ki sabz miTTi ka shaKHsana
pas-e-daricha khula hua hai
ajab tamasha laga hua hai
yahi makan hain
haweliyan hain
ata-o-jud-o-saKHa ke markaz
tashaddud-o-jabr ke idare
ab in mein raqsan hain zar-KHarid aur ghulam sare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.