ras-bhare honT
ras-bhare hoñT
phuul se halke
jaise billor kī surāhī meñ
bāda-e-ātishīñ-nafs chhalke
jaise nargis kī gol āñkhoñ se
ek shabnam kā arġhavāñ qatra
shafaq-e-sub.h se daraḳhshanda
dhīre dhīre sambhal sambhal Dhalke
ras-bhare hoñT yuuñ larazte haiñ.....!
yuuñ larazte haiñ jis tarah koī
raat din kā thakā huā raahī
paañv chhalnī nigāh mutazalzal
vaqt sahra-e-be-karāñ ki jahāñ
sañg-e-manzil-numā na aaj na kal.....
daf.atan duur.....! duur..... aañkh se duur
shafaq-e-shām kī siyāhī meñ
qalb kī ārzū-nigāhī meñ
farsh se arsh tak jhalak uTThe
ek dhokā..... sarāb..... mañb-e-nūr.....!
ras-bhare hoñT dekh kar 'tāsīr'
raat din ke thake hue raahī
yuuñ taraste haiñ, yuuñ larazte haiñ.....!
ras-bhare honT
phul se halke
jaise billor ki surahi mein
baada-e-atishin-nafs chhalke
jaise nargis ki gol aankhon se
ek shabnam ka arghawan qatra
shafaq-e-subh se daraKHshanda
dhire dhire sambhal sambhal Dhalke
ras-bhare honT yun larazte hain!
yun larazte hain jis tarah koi
raat din ka thaka hua rahi
panw chhalni nigah mutazalzal
waqt sahra-e-be-karan ki jahan
sang-e-manzil-numa na aaj na kal
dafatan dur! dur aankh se dur
shafaq-e-sham ki siyahi mein
qalb ki aarzu-nigahi mein
farsh se arsh tak jhalak uTThe
ek dhoka sarab manb-e-nur!
ras-bhare honT dekh kar 'tasir'
raat din ke thake hue rahi
yun taraste hain, yun larazte hain!
- Book : meri behtareen nazam (Pg. 108)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.