ras ki khir
ek roz kī baat hai bhaa.ī
ras kī ham ne khiir pakā.ī
pahle ras kā mel nikālā
aur patīlī meñ phir Daalā
degchī phir chūlhe pe chaḌhā.ī
us ke nīche aag jalā.ī
Daale ras meñ chāval suthre
aur chalāyā dhīre dhīre
khich khich kar ke paktī jaatī
ham sab se ye kahtī jaatī
chāval bolo kis ne banāyā
khet meñ gannā kis ne ugāyā
pak kar jab tayyār huī to
tohfa diyā paḌosan b ko
ḳhush ho kar ham sab ne khaa.ī
khiir paḌosan ko bhī bhaa.ī
shukr hai us allāh kā bhaa.ī
jis ne ham ko khiir khilā.ī
ek roz ki baat hai bhai
ras ki hum ne khir pakai
pahle ras ka mel nikala
aur patili mein phir Dala
degchi phir chulhe pe chaDhai
us ke niche aag jalai
Dale ras mein chawal suthre
aur chalaya dhire dhire
khich khich kar ke pakti jati
hum sab se ye kahti jati
chawal bolo kis ne banaya
khet mein ganna kis ne ugaya
pak kar jab tayyar hui to
tohfa diya paDosan b ko
KHush ho kar hum sab ne khai
khir paDosan ko bhi bhai
shukr hai us allah ka bhai
jis ne hum ko khir khilai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.