hamesha sochtā huuñ maiñ
ye ik niilī sī chhatrī
jo mire sar par tanī hai
is ke pīchhe
aur kyā hai
kabhī maiñ ḳhvāb ke sayyārche meñ baiTh jaatā huuñ
'aqīdat-gāh se māñgī huī 'ainak lagātā huuñ
gumāñ ke asp-e-tāzī par kamāl-e-barq-raftārī dikhātā huuñ
ḳhirad ke gumbadoñ meñ sargirāñ
aflāk kī vus'at
sitāroñ aur sayyāroñ kī Tolī
fasīl-e-dahr meñ bante bigaḌte
ye siyah rauzan
maiñ un ke paar jaanā chāhtā huuñ
magar ik baar phir ye sochtā huuñ
abhī to mujh ko apne pair ke nīche kī miTTī kā pata mā'lūm karnā hai
maiñ sātoñ āsmāñ kī gardishoñ se kyoñ pareshāñ huuñ
ki apnī ye zamīñ bhī to
isī ūñche falak meñ hī mu'allaq ghūmtī hai
hamesha sochta hun main
ye ek nili si chhatri
jo mere sar par tani hai
is ke pichhe
aur kya hai
kabhi main KHwab ke sayyarche mein baiTh jata hun
'aqidat-gah se mangi hui 'ainak lagata hun
guman ke asp-e-tazi par kamal-e-barq-raftari dikhata hun
KHirad ke gumbadon mein sargiran
aflak ki wus'at
sitaron aur sayyaron ki Toli
fasil-e-dahr mein bante bigaDte
ye siyah rauzan
main un ke par jaana chahta hun
magar ek bar phir ye sochta hun
abhi to mujh ko apne pair ke niche ki miTTi ka pata ma'lum karna hai
main saton aasman ki gardishon se kyon pareshan hun
ki apni ye zamin bhi to
isi unche falak mein hi mu'allaq ghumti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.