rashhat
koī shāḳh-e-tishna-o-ḳhushk jis se harī na ho vo sahāb kyā
jo chhalak ke rañg na bhar sake rag-o-resha meñ vo shabāb kyā
dil-e-gum-shuda ko meñ DhūñDne kahīñ shab ko mahv-e-junūñ chalā
to sadā sī aa.ī ye siina se ki talāsh-e-ḳhāna-ḳharāb kyā
tarab-āfrīñ sahī rut kabhī mile bār-e-soz ko saaz meñ
na tanavvo itnā bhī jis kī tarz-e-navā meñ ho vo rabāb kyā
nahīñ phuul phuul mahak baġhair khile balā se khilā kare
ho mashām-e-tāza na jis kī rūh-e-shamīm se vo gulāb kyā
shikneñ ye sharm nihāñ kī haiñ nazar aa rahā hai jo parda sā
tahoñ meñ agar na hayā-e-jalva dabī huī to hijāb kyā
jo likhe the shauq se ḳhat unheñ faqat itnā un kā javāb thā
ki javāb aisī jasāratoñ kā sukūt ho to javāb kyā
jo pilā.ī hai to ye mastī-e-ma.e aish raat kā saath de
ho darāz tishna na jis kā sham.a ke bujhne tak vo sharāb kyā
koi shaKH-e-tishna-o-KHushk jis se hari na ho wo sahab kya
jo chhalak ke rang na bhar sake rag-o-resha mein wo shabab kya
dil-e-gum-shuda ko mein DhunDne kahin shab ko mahw-e-junun chala
to sada si aai ye sina se ki talash-e-KHana-KHarab kya
tarab-afrin sahi rut kabhi mile bar-e-soz ko saz mein
na tanawwo itna bhi jis ki tarz-e-nawa mein ho wo rabab kya
nahin phul phul mahak baghair khile bala se khila kare
ho masham-e-taza na jis ki ruh-e-shamim se wo gulab kya
shiknen ye sharm nihan ki hain nazar aa raha hai jo parda sa
tahon mein agar na haya-e-jalwa dabi hui to hijab kya
jo likhe the shauq se KHat unhen faqat itna un ka jawab tha
ki jawab aisi jasaraton ka sukut ho to jawab kya
jo pilai hai to ye masti-e-mae aish raat ka sath de
ho daraaz tishna na jis ka shama ke bujhne tak wo sharab kya
- Book : Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 124)
- Author : Munavvar Jameel
- Publication : Haji Haneef Printer Lahore (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.