rasm-e-id
bahār-e-ḳhushī ik adā se chalī
aaj pahnā hai ġham ne nayā pairahan
ḳhvāhishoñ ke chaman muskurāne lage
regzāroñ meñ chhā jaa.e jaise ghaTā
jaise tārīkiyoñ meñ mile raushnī
rotī āñkheñ bhī ab muskurāne lagīñ
zindagī ke shajar lahlahāne lage
aag har-sū ta.assub kī phailī huī
har taraf chhāyā hai nafratoñ kā dhuāñ
ab fazāoñ kā dāman bhī mailā huā
aise aalam meñ ham ko milī hai ḳhushī
poñchh leñ ashk-e-ġham apnī āñkhoñ se ham
noch leñ apne chehroñ se māyūsiyāñ
aur laboñ pe tabassum sajā.e hue
ḳhair-maqdam kareñ
iid kī rasm kī
haañ lahū meñ nahā.ī huī
iid kā
bahaar-e-KHushi ek ada se chali
aaj pahna hai gham ne naya pairahan
KHwahishon ke chaman muskurane lage
regzaron mein chha jae jaise ghaTa
jaise tarikiyon mein mile raushni
roti aankhen bhi ab muskurane lagin
zindagi ke shajar lahlahane lage
aag har-su tassub ki phaili hui
har taraf chhaya hai nafraton ka dhuan
ab fazaon ka daman bhi maila hua
aise aalam mein hum ko mili hai KHushi
ponchh len ashk-e-gham apni aankhon se hum
noch len apne chehron se mayusiyan
aur labon pe tabassum sajae hue
KHair-maqdam karen
id ki rasm ki
han lahu mein nahai hui
id ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.