rasm-e-ijra
kisī din mere baare meñ
kisī aḳhbār meñ
yā phir risāle meñ
zarā sā zikr hotā hai
to apne aap par kuchh faḳhr hotā hai
dikhātā phirtā huuñ sab ko maiñ aḳhbāroñ risāloñ meñ chhapī ḳhabreñ
bahut maġhrūr rahtā huuñ maiñ kuchh din
tumhāre naam par to
puurā majmū’a hī likh Daalā hai maiñ ne
bahut charche haiñ jis ke
log paḌhte haiñ
tumhāre naam par likkhī huī nazmeñ
tumhāre vāste likkhī huī ġhazleñ
mirī jaañ sach batāo
kaisā lagtā hai
mirī nazmoñ ke chehroñ meñ
tumhārī shakl dikhtī hai
mire alfāz meñ
jab bhī tum apnā naam paḌhtī ho
ḳhud apne par tumheñ bhī naaz to hotā hī hogā
mirī nazmoñ ke ā.īne meñ ḳhud ko dekh kar apne pe itrātī to hoñgī
magar merī ye mushkil hai
ki jab bhī log mujh se pūchhte haiñ
kaun hai kis ke liye
ye itnī pyārī nazmeñ
itnī dil-nashīñ ġhazleñ likhī haiñ
maiñ sab sach bol denā chāhtā huuñ
tumhāre naam kā e'lān karnā chāhtā huuñ
phir bhī
apne hoñT sī letā huuñ
yā nazreñ phirā kar Taal detā huuñ
mirī mushkil kā tum hī hal nikālo
tumhīñ taslīm kar lo
haañ mire hī naam par dīvāne ne dīvān likkhā hai
muqaddas lab se gar
tasdīq kar do tum
mire majmū’e kī
is se ziyāda ḳhūb-sūrat aur mukammal
rasm-e-ijrā aur koī ho nahīñ saktī
kisi din mere bare mein
kisi aKHbar mein
ya phir risale mein
zara sa zikr hota hai
to apne aap par kuchh faKHr hota hai
dikhata phirta hun sab ko main aKHbaron risalon mein chhapi KHabren
bahut maghrur rahta hun main kuchh din
tumhaare nam par to
pura majmu’a hi likh Dala hai main ne
bahut charche hain jis ke
log paDhte hain
tumhaare nam par likkhi hui nazmen
tumhaare waste likkhi hui ghazlen
meri jaan sach batao
kaisa lagta hai
meri nazmon ke chehron mein
tumhaari shakl dikhti hai
mere alfaz mein
jab bhi tum apna nam paDhti ho
KHud apne par tumhein bhi naz to hota hi hoga
meri nazmon ke aaine mein KHud ko dekh kar apne pe itraati to hongi
magar meri ye mushkil hai
ki jab bhi log mujh se puchhte hain
kaun hai kis ke liye
ye itni pyari nazmen
itni dil-nashin ghazlen likhi hain
main sab sach bol dena chahta hun
tumhaare nam ka e'lan karna chahta hun
phir bhi
apne honT si leta hun
ya nazren phira kar Tal deta hun
meri mushkil ka tum hi hal nikalo
tumhin taslim kar lo
han mere hi nam par diwane ne diwan likkha hai
muqaddas lab se gar
tasdiq kar do tum
mere majmu’e ki
is se ziyaada KHub-surat aur mukammal
rasm-e-ijra aur koi ho nahin sakti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.