rasm-e-ijra
tire karam kā karūñ shukr kis tarah se adā
mirī umiid ko tū ne yaqīñ meñ badlā hai
tire qadam se jo pur-nūr ho ga.ī mahfil
sabhī ne sochā kī dhartī pe chāñd utrā hai
tire na hone se yaañ kā 'ajīb manzar thā
gumāñ guzartā ki mahfil hai soz-ḳhvānī kī
baḌhe qadam jo tire merī bazm kī jānib
fazā meñ phail ga.ī itr shādmānī kī
tire raqīb kī ta.ana-zanī ke Dar se sanam
pareshāñ-hāl thā dil aur be-qarār bhī thā
mujhe yaqīn thā aaogī toḌ kar bandhan
terī vafāoñ pe is darja e'tibār bhī thā
mujhe hai faḳhr tire faisle pe jān-e-jigar
ki tū ne merī mohabbat kī laaj rakkhī hai
zamāne-bhar ke rivājoñ ko toḌ kar tū ne
jahāñ meñ 'ishq-o-sadāqat kī laaj rakkhī hai
bas ek baar tujhe dekhne kī ḳhvāhish thī
ye rasm-e-ijrā kī mahfil to ik bahāna thā
agar tū aatā nahīñ yaar merī mahfil meñ
mujhe kitāb ke har lafz ko jalānā thā
tere karam ka karun shukr kis tarah se ada
meri umid ko tu ne yaqin mein badla hai
tere qadam se jo pur-nur ho gai mahfil
sabhi ne socha ki dharti pe chand utra hai
tere na hone se yan ka 'ajib manzar tha
guman guzarta ki mahfil hai soz-KHwani ki
baDhe qadam jo tere meri bazm ki jaanib
faza mein phail gai itr shadmani ki
tere raqib ki tana-zani ke Dar se sanam
pareshan-haal tha dil aur be-qarar bhi tha
mujhe yaqin tha aaogi toD kar bandhan
teri wafaon pe is darja e'tibar bhi tha
mujhe hai faKHr tere faisle pe jaan-e-jigar
ki tu ne meri mohabbat ki laj rakkhi hai
zamane-bhar ke riwajon ko toD kar tu ne
jahan mein 'ishq-o-sadaqat ki laj rakkhi hai
bas ek bar tujhe dekhne ki KHwahish thi
ye rasm-e-ijra ki mahfil to ek bahana tha
agar tu aata nahin yar meri mahfil mein
mujhe kitab ke har lafz ko jalana tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.