rasm
tirī parchhā.īñ tere ba.ad bhī ghar bhar meñ phirtī hai
kabhī gul-dān meñ uljhe hue
phūloñ kī ḳhushbū kī
safeñ tartīb detī hai
kabhī sajde meñ sar rakkhe
girī bikhrī kitāboñ kī
jamā.at kī jabīnoñ par lagī barsoñ kī gard aur dhuul
palkoñ kī namī se Dhotī almārī meñ qaade bāñTī takbīr detī hai
darūd-e-dostī se peshtar
daa.eñ taraf ke haath kī uñglī uThā kar
ik shahādat ik gavāhī
naam kar detī hai chāhat ke
kabhī ā.īne meñ apnī purānī dāstāñ kī āyatoñ kā vird kartī hai
kabhī chaukhaT pe aa ke yaad kī tasbīh kartī hai
piro letī hai dānoñ meñ
ki har daane pe terā naam paḌhtī hai
magar gintī nahīñ kartī
ki har taiñtīs dānoñ ba.ad ik chhallā nahīñ aatā
kabhī in panj-vaqta khiḌkiyoñ se dhuup ke mīnār par chaḌh kar
ye hai-ala-ssalāt-e-dil kī gūñjeñ chaak kartī hai
fazā namnāk kartī hai
nigāhoñ ke ghaḌe se paanī chhalkā kar vuzū
yā phir nigāheñ ḳhushk ho jaa.eñ
to biite vaqt ke ik lams se tadbīr kī sūrat
tayammum se mirī likkhī huī nazmeñ tilāvat karne lagtī hai
sub.h se shaam hone tak
kisī tasvīr ko ka.aba banātī hai
tavāf kartī jaatī hai
na jaane kaun se kitne manāsik yaad ne
parchhā.īñ ke sar bāñdh rakkhe haiñ
ye saare kashT kartī hai
par āḳhir meñ
vahī ik āḳhirī sunnat nibhātī hai
ye apne aap ko har shaam
āñgan meñ girā kar
haar ko taslīm kar ke
rasm ke ik khurdure ḳhanjar se
bin takbīr hī
qurbān hotī hai
teri parchhain tere baad bhi ghar bhar mein phirti hai
kabhi gul-dan mein uljhe hue
phulon ki KHushbu ki
safen tartib deti hai
kabhi sajde mein sar rakkhe
giri bikhri kitabon ki
jamaat ki jabinon par lagi barson ki gard aur dhul
palkon ki nami se Dhoti almari mein qade banTi takbir deti hai
darud-e-dosti se peshtar
daen taraf ke hath ki ungli uTha kar
ek shahadat ek gawahi
nam kar deti hai chahat ke
kabhi aaine mein apni purani dastan ki aayaton ka wird karti hai
kabhi chaukhaT pe aa ke yaad ki tasbih karti hai
piro leti hai danon mein
ki har dane pe tera nam paDhti hai
magar ginti nahin karti
ki har taintis danon baad ek chhalla nahin aata
kabhi in panj-waqta khiDkiyon se dhup ke minar par chaDh kar
ye hai-ala-ssalat-e-dil ki gunjen chaak karti hai
faza namnak karti hai
nigahon ke ghaDe se pani chhalka kar wuzu
ya phir nigahen KHushk ho jaen
to bite waqt ke ek lams se tadbir ki surat
tayammum se meri likkhi hui nazmen tilawat karne lagti hai
subh se sham hone tak
kisi taswir ko kaba banati hai
tawaf karti jati hai
na jaane kaun se kitne manasik yaad ne
parchhain ke sar bandh rakkhe hain
ye sare kashT karti hai
par aaKHir mein
wahi ek aaKHiri sunnat nibhati hai
ye apne aap ko har sham
aangan mein gira kar
haar ko taslim kar ke
rasm ke ek khurdure KHanjar se
bin takbir hi
qurban hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.