rassi ka pul
rassī kā pul
dekhā bhālā
hachkole mānūs
girheñ jis kī uqdoñ se pur
tuul safar ik umr
rassī kā pul ik din TuuTā
aur musāfir girte girte
us ke donoñ TukḌe thāme
ḳhud pul ban kar beach meñ laTkā jhuul rahā thā
saikḌoñ āñkhoñ ke jhurmuT meñ
vo maslūb tamāsha ban kar
TuuTe pul ko joḌ rahā thā
ūñchā.ī par donoñ siroñ kī jānib be-rahmī se khiñchtī
ziddī rassī
tund havā kī paiham aaḌī tirchhī kīleñ
gahrā.ī meñ bahtā paanī aur chaTTāneñ
aur havā meñ do baazū shal
is muTThī se us muTThī tak hashr bapā thā
paanī aur havā ke shor meñ shiryānoñ kā ḳhuun ho jaise
aur tanāv chīḳh rahā ho
apnī āñkheñ khol ke dekho
rassī ban ga.e haath tumhāre
tum ḳhud apnā kaffāra ho
hiile lo yaah hiile lo yaah
ab jī uTTho jashn manāo
lambe safar se tum ko aaj najāt milī hai
rassi ka pul
dekha bhaala
hachkole manus
girhen jis ki uqdon se pur
tul safar ek umr
rassi ka pul ek din TuTa
aur musafir girte girte
us ke donon TukDe thame
KHud pul ban kar beach mein laTka jhul raha tha
saikDon aankhon ke jhurmuT mein
wo maslub tamasha ban kar
TuTe pul ko joD raha tha
unchai par donon siron ki jaanib be-rahmi se khinchti
ziddi rassi
tund hawa ki paiham aaDi tirchhi kilen
gahrai mein bahta pani aur chaTTanen
aur hawa mein do bazu shal
is muTThi se us muTThi tak hashr bapa tha
pani aur hawa ke shor mein shiryanon ka KHun ho jaise
aur tanaw chiKH raha ho
apni aankhen khol ke dekho
rassi ban gae hath tumhaare
tum KHud apna kaffara ho
hile lo yah hile lo yah
ab ji uTTho jashn manao
lambe safar se tum ko aaj najat mili hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.