rasul-e-kazib
rasūl-e-maslūb ke do hazār barsoñ ke ba.ad ye vāqi.a huā
ye us zamāne kī baat hai jab rasūl-e-ḳhurshīd rās-ul-aflāk par chamaktā thā
vo ik zamistāñ kī nīm-shab kā samāñ thā
vo nīm-shab ik raqīq chādar na jaane kab se zamīñ ke murdār kālbad par
paḌī huī hai aur us ke masmūm rauzanoñ se gale saḌe jism kā ta.affun ubal rahā hai
shajar hajar dhund ke kafan meñ chhupī huī ḳhāmushī ke siine meñ chubh rahe the
anāsir-e-vaqt munjamid the
tamām rūheñ fishār-e-marqad meñ mubtilā thiiñ
aur aise hañgām meñ ik āvāz-e-nūr afgan
zuhūr-e-ḳhurshīd kī bashārat se dasht o dar ko jalā rahī thī
hazār-hā shab-gazīdgāñ ke hujūm se maiñ ne us ko dekhā
vo ḳhūn-e-ādam meñ apnī zinda ḳhizāñ-zada uñgliyāñ Dubo.e khaḌā thā
hujūm se ek ik gunahgār ko bulātā aur us ke māthe pe kalma-e-sub.h likh rahā thā
tamām murde ḳhizāñ-zada uñgliyoñ ke chhūne se jāgte the
gunāhgār-e-nafs thā maiñ bhī
ummīd-vār-e-shifā thā maiñ bhī
phir us zamistāñ kī nīm-shab meñ hazār lamhāt shaaq guzre
aur ek lamhe ne mere zaḳhm-e-jigar ko chhū kar kahā
madavā-e-ġham kī saa.at qarīb hai
sajda-rez ho jā
ye us zamāne kī baat hai jab zamīn ke be-shumār murde lahū kā baptisma le rahe the
lahū kā baptisma le rahe haiñ
rasūl-e-ḳhurshīd kī sadā bhī to mar ga.ī thī kohar meñ vo kho gayā aur
usī zamistāñ kī nīm-shab meñ ḳhabar milī hai
usī shabistān-e-nūr-o-nik.hat meñ be-kafan laash par vo baiThā huā hai
apne ḳhizāñ-zada haath se kisī ke lahū kī taqtīr kar rahā hai
aur apne kaase ko bhar rahā hai
ḳhabar milī hai,
lahū vo ḳhurshīd kā lahū hai
rasul-e-maslub ke do hazar barson ke baad ye waqia hua
ye us zamane ki baat hai jab rasul-e-KHurshid ras-ul-aflak par chamakta tha
wo ek zamistan ki nim-shab ka saman tha
wo nim-shab ek raqiq chadar na jaane kab se zamin ke murdar kalbad par
paDi hui hai aur us ke masmum rauzanon se gale saDe jism ka taffun ubal raha hai
shajar hajar dhund ke kafan mein chhupi hui KHamushi ke sine mein chubh rahe the
anasir-e-waqt munjamid the
tamam ruhen fishaar-e-marqad mein mubtila thin
aur aise hangam mein ek aawaz-e-nur afgan
zuhur-e-KHurshid ki bashaarat se dasht o dar ko jala rahi thi
hazar-ha shab-gazidgan ke hujum se main ne us ko dekha
wo KHun-e-adam mein apni zinda KHizan-zada ungliyan Duboe khaDa tha
hujum se ek ek gunahgar ko bulata aur us ke mathe pe kalma-e-subh likh raha tha
tamam murde KHizan-zada ungliyon ke chhune se jagte the
gunahgar-e-nafs tha main bhi
ummid-war-e-shifa tha main bhi
phir us zamistan ki nim-shab mein hazar lamhat shaq guzre
aur ek lamhe ne mere zaKHm-e-jigar ko chhu kar kaha
madawa-e-gham ki saat qarib hai
sajda-rez ho ja
ye us zamane ki baat hai jab zamin ke be-shumar murde lahu ka baptisma le rahe the
lahu ka baptisma le rahe hain
rasul-e-KHurshid ki sada bhi to mar gai thi kohar mein wo kho gaya aur
usi zamistan ki nim-shab mein KHabar mili hai
usi shabistan-e-nur-o-nikhat mein be-kafan lash par wo baiTha hua hai
apne KHizan-zada hath se kisi ke lahu ki taqtir kar raha hai
aur apne kase ko bhar raha hai
KHabar mili hai,
lahu wo KHurshid ka lahu hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.