rat-jage
apnī apnī fikr
apne apne Dar
apne apne dard liye
tum aur maiñ
adh-so.e se adh-jāge se
kab se karvaT badal rahe haiñ
maiñ kyuuñ jaag rahā huuñ
mujh ko patā nahīñ
lekin soch rahā huuñ
tum kyuuñ jaag rahī ho
mere jaage rahne kī tum chintā chhoḌo
so jaao
apni apni fikr
apne apne Dar
apne apne dard liye
tum aur main
adh-soe se adh-jage se
kab se karwaT badal rahe hain
main kyun jag raha hun
mujh ko pata nahin
lekin soch raha hun
tum kyun jag rahi ho
mere jage rahne ki tum chinta chhoDo
so jao
- Book : Namak (Pg. 170)
- Author : Subodh Saaqi
- Publication : Arshia Publications (2016)
- Edition : 2016
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.