Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

rat-jagon ka mara waqt

Aliya Mirza

rat-jagon ka mara waqt

Aliya Mirza

MORE BYAliya Mirza

    sadiyoñ safar tai kar ke

    vaqt ke darvāze par pahuñchī to ma.alūm huā

    ratjagoñ maarā vaqt

    din chaḌhe tak so rahā hai

    vo jo kabhī rukā nahīñ

    kisī ke aage jhukā nahīñ

    mere aane se pahle use niiñd kyoñ aa ga.ī

    hatheliyoñ pe dastakoñ ke hazār-hā nishān haiñ

    aur use ḳhabar nahīñ

    shikastagī sameT kar paañv meñ bāñdh laa.ī huuñ

    ab ābloñ meñ sakat nahīñ

    ye masāfat bhī rā.egāñ na jaa.e kahīñ

    mujhe vaqt ko jagānā hai aur use batānā hai

    ki maiñ ne umr ke jis tandūr meñ

    apne dukh daabe the

    vo phir se agnī maañg rahā hai

    nīndeñ ab tak sulag rahī haiñ

    sadiyon ka safar tai kar ke

    waqt ke darwaze par pahunchi to malum hua

    ratjagon ka mara waqt

    din chaDhe tak so raha hai

    wo jo kabhi ruka nahin

    kisi ke aage jhuka nahin

    mere aane se pahle use nind kyon aa gai

    hatheliyon pe dastakon ke hazar-ha nishan hain

    aur use KHabar nahin

    shikastagi sameT kar panw mein bandh lai hun

    ab aablon mein sakat nahin

    ye masafat bhi raegan na jae kahin

    mujhe waqt ko jagana hai aur use batana hai

    ki main ne umr ke jis tandur mein

    apne dukh dabe the

    wo phir se agni mang raha hai

    ninden ab tak sulag rahi hain

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now