ratjaga
añdherī raat havā tez barshgāl kā shor
karūñ to kaise karūñ sham.a kī nigahbānī
in āñdhiyoñ meñ kaf-e-dast kā sahārā kyā
kahāñ chale ga.e tum sauñp kar ye daulat-e-nūr
mirī hayāt to jugnū kī raushnī meñ kaTī
na āftāb se nisbat na māhtāb rafīq
janam janam kī siyāhī baras baras kī ye raat
qadam qadam kā añdherā nafas nafas kī ye raat
tumhārī nik.hat-e-barbād ko tarastī hai
ab aao aa ke amānat sambhāl lo apnī
tamām umar kā ye ratjagā tamām huā
maiñ thak gayā huuñ mujhe niiñd aa.ī jaatī hai
andheri raat hawa tez barshgal ka shor
karun to kaise karun shama ki nigahbani
in aandhiyon mein kaf-e-dast ka sahaara kya
kahan chale gae tum saunp kar ye daulat-e-nur
meri hayat to jugnu ki raushni mein kaTi
na aaftab se nisbat na mahtab rafiq
janam janam ki siyahi baras baras ki ye raat
qadam qadam ka andhera nafas nafas ki ye raat
tumhaari nikhat-e-barbaad ko tarasti hai
ab aao aa ke amanat sambhaal lo apni
tamam umar ka ye ratjaga tamam hua
main thak gaya hun mujhe nind aai jati hai
- Book : Nai Nazm ka safar (Pg. 170)
- Author : Khalilur Rahman Azmi
- Publication : NCPUL, New Delhi (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.