vo añdherī raat kī chaap thī
jo guzar ga.ī
kabhī khiḌkiyoñ pe na jhuk sakī
kisī rāste meñ na ruk sakī
use jaane kis kī talāsh thī
mirī aañkh os se tar rahī hai
mujhe ḳhvāb banñe kī lat rahī
kabhī ek suunī sī rahguzar pe khaḌā thā maiñ
kabhī duur rail kī pTriyoñ pe paḌā thā maiñ
vo kisī ke jism kī chaap thī
jo guzar ga.ī
use jaane kis kī talāsh thī
mire dil ke dasht kī ret hī meñ khilī thī vo
mujhe ik galī meñ milī thī vo
use mujh se shauq-e-visāl thā
mire ḳhvāb mujh se ḳhafā hue
mujhe niiñd aa.ī maiñ so gayā
yahī ratjagoñ kā zavāl thā
wo andheri raat ki chap thi
jo guzar gai
kabhi khiDkiyon pe na jhuk saki
kisi raste mein na ruk saki
use jaane kis ki talash thi
meri aankh os se tar rahi hai
mujhe KHwab banne ki lat rahi
kabhi ek suni si rahguzar pe khaDa tha main
kabhi dur rail ki pTriyon pe paDa tha main
wo kisi ke jism ki chap thi
jo guzar gai
use jaane kis ki talash thi
mere dil ke dasht ki ret hi mein khili thi wo
mujhe ek gali mein mili thi wo
use mujh se shauq-e-visal tha
mere KHwab mujh se KHafa hue
mujhe nind aai main so gaya
yahi ratjagon ka zawal tha
- Book : sooraj ko nikalta dekhoon (Pg. 414)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.