raushan dil walon ke nam
dil kī aañkh se ḳhair ke saare raushan manzar dekhne vālo!
hadd-e-nazar tak phailī huī sab raushniyoñ saare rañgoñ ko
haat se chhū kar dekhne vālo!
bastī bastī gulshan gulshan hañstī huī saarī hariyālī
sab shādābī dil ke andar dekhne vālo!
dil ke nuur ḳhazānoñ kā ek ek charāġh jalā.e rakhnā
imkānoñ ke har kūche meñ ummīdoñ kī har muñDer par
mustaqbil ke har raste meñ ḳhvāb kī jot jagā.e rakhnā
jugnū sūraj chāñd sitāre
jab tak raushan haiñ ye saare
ham āvāz diye jā.eñge
tum āvāz milā.e rakhnā
dil ki aankh se KHair ke sare raushan manzar dekhne walo!
hadd-e-nazar tak phaili hui sab raushniyon sare rangon ko
hat se chhu kar dekhne walo!
basti basti gulshan gulshan hansti hui sari hariyali
sab shadabi dil ke andar dekhne walo!
dil ke nur KHazanon ka ek ek charagh jalae rakhna
imkanon ke har kuche mein ummidon ki har munDer par
mustaqbil ke har raste mein KHwab ki jot jagae rakhna
jugnu suraj chand sitare
jab tak raushan hain ye sare
hum aawaz diye jaenge
tum aawaz milae rakhna
- Book : Kitab-e-Dil-O-Dunya (Pg. 557)
- Author : Iftikhar Arif
- Publication : Pakistan Publishing House (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.