raushni ka suragh
Interesting Fact
(In memory of Sir Syed Ahmad Khan)
hamāre zehnoñ pe
kitnī sadiyoñ ke
muhīb añdhere kī hukmarānī meñ
ek mehr-e-lā-zavāl chamkā
tārīk rāhoñ ko raushnī kā surāġh milā
nigāh-o-dil ko
na.ī manziloñ
na.ī rif.atoñ
na.ī azmatoñ
kā pata batā kar
amal kī ik sham-e-nau jalā kar
jis ne
hamāre vijdān-o-idrāk ko jhiñjhoḌā
ġhunūdgī ke shikār-e-ehsās ko jagāyā
shu.ūr kī be-hisī ko
ik irti.āsh kī kaifiyat atā kī
vo jāntā thā ki
ziist ke is be-nūr sahrā meñ
vaqār-e-millat kahāñ nihāñ hai
uruuj kī dāstāñ ke āġhāz kā ujālā kahāñ chhupā hai
vo jāntā thā
ki tārīḳh-e-aqvām-e-ālam meñ
zinda qaumoñ kī shanāḳht
ilm kī badaulat hai
aur
ilm se duur rahne vaalī qaumeñ
ik kāsa-e-tahī ke sivā kuchh bhī nahīñ haiñ
use
is rāz-e-sar-basta kā irfān ho chukā thā
ki ilm hī hai
vaqār-e-hastī
bahār-e-hastī
isī liye aaj us ke dar par
jabīn-e-ālam jhukī huī hai
hamare zehnon pe
kitni sadiyon ke
muhib andhere ki hukmarani mein
ek mehr-e-la-zawal chamka
tarik rahon ko raushni ka suragh mila
nigah-o-dil ko
nai manzilon
nai rifaton
nai azmaton
ka pata bata kar
amal ki ek sham-e-nau jala kar
jis ne
hamare wijdan-o-idrak ko jhinjhoDa
ghunudgi ke shikar-e-ehsas ko jagaya
shuur ki be-hisi ko
ek irtiash ki kaifiyat ata ki
wo jaanta tha ki
zist ke is be-nur sahra mein
waqar-e-millat kahan nihan hai
uruj ki dastan ke aaghaz ka ujala kahan chhupa hai
wo jaanta tha
ki tariKH-e-aqwam-e-alam mein
zinda qaumon ki shanaKHt
ilm ki badaulat hai
aur
ilm se dur rahne wali qaumen
ek kasa-e-tahi ke siwa kuchh bhi nahin hain
use
is raaz-e-sar-basta ka irfan ho chuka tha
ki ilm hi hai
waqar-e-hasti
bahaar-e-hasti
isi liye aaj us ke dar par
jabin-e-alam jhuki hui hai
- Book : Shahre be Chiragh Mein (Pg. 118)
- Author : Saeed Arifi
- Publication : Pahchan Publications (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.