raushni kam hai
raushnī kam hai na kar us kī shikāyat hamdam
raushnī kam hī rahe to achchhā
shādmānī-o-ḳhushī ke hamrāh
ik na ik ġham bhī rahe to achchhā
dasht-o-sahrā ho ki bāġh-e-dabistāñ
sat.h-e-dariyā ho ki chaTyal maidān
raat har chiiz pe hai sāya-nishāñ
raushnī kam hai añdherā hī ziyāda hai yahāñ
shāh-rāhoñ ke nazāroñ pe na jā
qumqumoñ kī nazar-afroz qatāroñ pe na jā
kyūñki ik chashm-e-basīrat ke liye
jo bhī hai pesh-e-nazar
chashmak-e-barq hai yā raqs-e-sharar
aa zarā moḌ idhar ko bhī nigāheñ apnī
tīra-o-tār hai kitnī ye galī
TimTimātī hai jahāñ khambe par
ek mailī sī shikasta chimnī
jis tarah naza.a meñ koī bīmār
kab talak raushnī phailā.egī ye
sub.h se pahle hī bujh jā.egī ye
aur phir ek ghaTā-Top añdherā hogā
is añdhere hī meñ bas us kā saverā hogā
aa ki ham ab dil-e-insāñ bhī TaToleñ chal kar
band haiñ ye jo darīche unheñ kholeñ chal kar
ek yā do ke sivā sab haiñ siyāhī se bhare
jaise patte shajar-e-ḳhushk meñ do-chār hare
tīra-o-tār hai kis darja zamīr-e-insāñ
raushnī is meñ kahāñ
raushnī kam hai añdherā hī ziyāda hai yahāñ
raushni kam hai na kar us ki shikayat hamdam
raushni kam hi rahe to achchha
shadmani-o-KHushi ke hamrah
ek na ek gham bhi rahe to achchha
dasht-o-sahra ho ki bagh-e-dabistan
sath-e-dariya ho ki chaTyal maidan
raat har chiz pe hai saya-nishan
raushni kam hai andhera hi ziyaada hai yahan
shah-rahon ke nazaron pe na ja
qumqumon ki nazar-afroz qataron pe na ja
kyunki ek chashm-e-basirat ke liye
jo bhi hai pesh-e-nazar
chashmak-e-barq hai ya raqs-e-sharar
aa zara moD idhar ko bhi nigahen apni
tira-o-tar hai kitni ye gali
TimTimati hai jahan khambe par
ek maili si shikasta chimni
jis tarah naza mein koi bimar
kab talak raushni phailaegi ye
subh se pahle hi bujh jaegi ye
aur phir ek ghaTa-Top andhera hoga
is andhere hi mein bas us ka sawera hoga
aa ki hum ab dil-e-insan bhi TaTolen chal kar
band hain ye jo dariche unhen kholen chal kar
ek ya do ke siwa sab hain siyahi se bhare
jaise patte shajar-e-KHushk mein do-chaar hare
tira-o-tar hai kis darja zamir-e-insan
raushni is mein kahan
raushni kam hai andhera hi ziyaada hai yahan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.