raushni kho chuke hain
agar maiñ apnī ḳhvāhishoñ ko
be-libās kar duuñ
to vo mujh se nafrat karne lageñge
maiñ ye jāntā huuñ ki
un ke dil kā zahr
siyah parchhā.iyāñ ban kar
ubhar aatā hai
jise dekhnā un ke bas meñ nahīñ
vo apnī āñkhoñ kī raushnī kho chuke haiñ
agar main apni KHwahishon ko
be-libas kar dun
to wo mujh se nafrat karne lagenge
main ye jaanta hun ki
un ke dil ka zahr
siyah parchhaiyan ban kar
ubhar aata hai
jise dekhna un ke bas mein nahin
wo apni aankhon ki raushni kho chuke hain
- Book : Gil-e-Lajvard (Pg. 57)
- Author : Khaleel Tanveer
- Publication : Al-asr Publications, Ahmedabad (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.