raushni ki saughat
maiñ alfāz kā tohfa kāġhaz meñ lapeT kar laayā thā ki tumheñ nazr karūñgā
vo rāste hī meñ bikhar gayā
is meñ merā qusūr nahīñ
ye to havā kī sharārat thī
maiñ jo kuchh kahnā chāhtā huuñ use kāġhaz par raushnā.ī banā kar bikher detā huuñ
mere ḳhayālāt kāġhazī haiñ
mere alfāz kāġhazī haiñ
merā vajūd kāġhazī hai
maiñ ne kal shaam chaa.e kī chuskī lete hue sochā thā
ki tum agar mere kāġhazī ghar ko jalā do to kyā hī achchhā ho
lekin tumhārī āñkheñ to ye kahtī haiñ
ki vo apnī raushnī se mere dīvār-o-dar sajā.eñgī
merī rātoñ ko jagmagā.eñgī
merī nīñdoñ par ḳhvāb ban kar chhā jā.eñgī
lekin mujhe is par yaqīn nahīñ aatā
kyūñki abhī tak tum ne apnī āñkhoñ kī ḳhvāhish ko
alfāz kā jaama nahīñ pahnāyā
maiñ to jo kuchh bhī kahnā chāhtā huuñ kāġhaz par bikher detā huuñ
tumhāre jism meñ havā sansanātī hai
aur tum havā kī tarah narm-o-nāzuk ho
mere jism meñ bhī havā sansanātī hai
lekin vo merī tarah bīmār aur kamzor nahīñ
havā mujh se aksar mere tohfe chhīn letī hai
maiñ kal phir alfāz kā tohfa kāġhaz meñ lapeT kar lā.ūñgā
lekin mujhe yaqīn hai
ki havā ye tohfa rāste hī meñ chhīn legī
havā hamārī dushman nahīñ
ye to ham donoñ kā sahārā hai
ye tumheñ zindagī detī hai
aur mujhe zinda rahne kī hasrat
ye apne dāman meñ na jaane kitnī chīzeñ chhupā.e hue hai
mere aur tumhāre ḳhāndān kī nāmūs
merī aur tumhārī bātoñ kī afvāheñ
jab havā bahut hī udaas ho to tum mere paas aanā
maiñ tumhārī baḌī baḌī āñkhoñ meñ
apnī ruuh kī raushnī bhar dūñgā
lekin us vaqt tak maiñ būḌhā ho chukā hūñgā
main alfaz ka tohfa kaghaz mein lapeT kar laya tha ki tumhein nazr karunga
wo raste hi mein bikhar gaya
is mein mera qusur nahin
ye to hawa ki shararat thi
main jo kuchh kahna chahta hun use kaghaz par raushnai bana kar bikher deta hun
mere KHayalat kaghazi hain
mere alfaz kaghazi hain
mera wajud kaghazi hai
main ne kal sham chae ki chuski lete hue socha tha
ki tum agar mere kaghazi ghar ko jala do to kya hi achchha ho
lekin tumhaari aankhen to ye kahti hain
ki wo apni raushni se mere diwar-o-dar sajaengi
meri raaton ko jagmagaengi
meri nindon par KHwab ban kar chha jaengi
lekin mujhe is par yaqin nahin aata
kyunki abhi tak tum ne apni aankhon ki KHwahish ko
alfaz ka jama nahin pahnaya
main to jo kuchh bhi kahna chahta hun kaghaz par bikher deta hun
tumhaare jism mein hawa sansanati hai
aur tum hawa ki tarah narm-o-nazuk ho
mere jism mein bhi hawa sansanati hai
lekin wo meri tarah bimar aur kamzor nahin
hawa mujh se aksar mere tohfe chhin leti hai
main kal phir alfaz ka tohfa kaghaz mein lapeT kar launga
lekin mujhe yaqin hai
ki hawa ye tohfa raste hi mein chhin legi
hawa hamari dushman nahin
ye to hum donon ka sahaara hai
ye tumhein zindagi deti hai
aur mujhe zinda rahne ki hasrat
ye apne daman mein na jaane kitni chizen chhupae hue hai
mere aur tumhaare KHandan ki namus
meri aur tumhaari baaton ki afwahen
jab hawa bahut hi udas ho to tum mere pas aana
main tumhaari baDi baDi aankhon mein
apni ruh ki raushni bhar dunga
lekin us waqt tak main buDha ho chuka hunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.