raushni
manāzir sab usī ik raushnī par munhasir haiñ
jo dil kī munhamik partoñ ko jab bhī phāñd kar aatī hai
is pahnā-e-ārī meñ
to apne zāviyoñ ke tāne-bāne se
bashar kī aañkh kā māhaul buntī hai
yahī māhaul jab simTe to ik tīkhī kiran ban kar
subuk-sar chiir ke shabnam kī har ik buuñd kā siina
kalī kī aabrū chhū le
lab-o-lahja kā andāz-e-numū chhū le
yahī māhaul jab phaile
to gul-būTe
mahakte marġh-zāroñ shāḳh-sāroñ kohsāroñ ko
haTīle pattharoñ par raqs karte ābshāroñ ko
samo kar apne be-pāyāñ machalte dā.eroñ meñ
shu.ūr-e-husn se apne
bisāt-e-shauq ik ta.amīr kar le
bisāt-e-shauq ko apnī
kisī firdaus se ta.abīr kar le
manazir sab usi ek raushni par munhasir hain
jo dil ki munhamik parton ko jab bhi phand kar aati hai
is pahna-e-ari mein
to apne zawiyon ke tane-bane se
bashar ki aankh ka mahaul bunti hai
yahi mahaul jab simTe to ek tikhi kiran ban kar
subuk-sar chir ke shabnam ki har ek bund ka sina
kali ki aabru chhu le
lab-o-lahja ka andaz-e-numu chhu le
yahi mahaul jab phaile
to gul-buTe
mahakte margh-zaron shaKH-saron kohsaron ko
haTile pattharon par raqs karte aabshaaron ko
samo kar apne be-payan machalte daeron mein
shuur-e-husn se apne
bisat-e-shauq ek tamir kar le
bisat-e-shauq ko apni
kisi firdaus se tabir kar le
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.