raushni mein khoi gai raushni
maiñ ne use nahīñ dekhā
jab tak us ne
saare charāġh gul nahīñ kar diye
añdhere meñ mujhe
chāroñ taraf vahī nazar aa.ī
Darāvne jañgal meñ
rasta banāte jugnuoñ kī tarah
ho saktā hai
maiñ hādsātī taur par
raushnī meñ aa jā.ūñ
lekin
ab vo jaan chukī hai
charāġh jalte hī
mujhe jugnū nazar aanā band ho jaate haiñ
main ne use nahin dekha
jab tak us ne
sare charagh gul nahin kar diye
andhere mein mujhe
chaaron taraf wahi nazar aai
Darawne jangal mein
rasta banate jugnuon ki tarah
ho sakta hai
main hadsati taur par
raushni mein aa jaun
lekin
ab wo jaan chuki hai
charagh jalte hi
mujhe jugnu nazar aana band ho jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.