raushni
vo jo zindagī kā qarār thī
vahī sub.h-e-nūr kahāñ ga.ī
vo jo ḳhvāb-e-nāz the kyā hue
mai-e-pur-surūr kahāñ ga.ī
vo jo intizār-e-qarār thā
vahī intizār-e-qarār hai
vo dukhan hai dil meñ nihāñ abhī
dil-e-nā-subūr kahāñ ga.ī
vahī tīrgī kā hisār hai
shab-o-roz par mah-o-sāl hai
hai javār-e-qalb pe tīrgī
abhī dil se duur kahāñ ga.ī
mire shahryār tirī samā.at-e-shauq besh
magar yahāñ
vo hai kaun jis ne fuġhāñ na kī
pe tire huzūr kahāñ ga.ī
yahāñ ab ma.āl-e-guzishta-shab
na.ī ek shab kā nafāz hai
vo jo sub.h-e-fardā kī aarzū thī
thakan se chuur kahāñ ga.ī
usī tīrgī meñ ye nuur kī
jo lakīr phūTī hai aah se
ajab ek manzar-e-jāñ-fazā
ki guzar rahā hai nigāh se
abhī kaun qarya-e-jāñ se
sū-e-adam ga.e haiñ lahū lahū
ki ajab charāġh se jal uThe
sar-e-qatl-gāh gulū gulū
isī raushnī meñ tamām chehre
ki aa.e jaate haiñ rū-ba-rū
koī sar-kashīda-o-ḳhanda-zan
koī sar-ḳhamīda siyāh-rū
wo jo zindagi ka qarar thi
wahi subh-e-nur kahan gai
wo jo KHwab-e-naz the kya hue
mai-e-pur-surur kahan gai
wo jo intizar-e-qarar tha
wahi intizar-e-qarar hai
wo dukhan hai dil mein nihan abhi
dil-e-na-subur kahan gai
wahi tirgi ka hisar hai
shab-o-roz par mah-o-sal hai
hai jawar-e-qalb pe tirgi
abhi dil se dur kahan gai
mere shahryar teri samaat-e-shauq besh
magar yahan
wo hai kaun jis ne fughan na ki
pe tere huzur kahan gai
yahan ab maal-e-guzishta-shab
nai ek shab ka nafaz hai
wo jo subh-e-farda ki aarzu thi
thakan se chur kahan gai
usi tirgi mein ye nur ki
jo lakir phuTi hai aah se
ajab ek manzar-e-jaan-faza
ki guzar raha hai nigah se
abhi kaun qarya-e-jaan se
su-e-adam gae hain lahu lahu
ki ajab charagh se jal uThe
sar-e-qatl-gah gulu gulu
isi raushni mein tamam chehre
ki aae jate hain ru-ba-ru
koi sar-kashida-o-KHanda-zan
koi sar-KHamida siyah-ru
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.