raziya-sultana korangi, ke area
us ne jūñ-tūñ paḌhā
paas bhī ho ga.ī
kuchh dinoñ ke liye noveloñ hindī filmoñ chalittar sahelī kī bātoñ
mazedār sapnoñ meñ bhī kho ga.ī
ḳhud-baḳhud apne har shauq se āshnā ho ga.ī
aur phir ek itvār ko
us ke donoñ baḌe bhā.iyoñ bhabiyoñ ne
hisāb aur chūlhe alag jab kiye
us ne ammāñ ko ḳhud-e'timādī se dekhā
ki ab us ke apne dupaTTe qamīs aur shalvār chappal ke joḌe
namak mirch aalū maTar pyaaz lahsan chuqandar TamāTar
podīna, kaḌhī paat zīra, masāle,
chune muuñg maash aur masur, saarī dāleñ
mahīne meñ do baar qiima yā murġhī kā sālan
chhaTī class meñ paḌhne vaale ġhabī chhoTe bhaa.ī kī Tuition
kitāboñ kā ḳharcha
ye sab us akelī kī hai zimmedārī
so jab naukrī DhūñDte DhūñDte arziyāñ dete dete
ka.ī din hue
to use yūnī-centre meñ ik aam sī naukrī mil ga.ī
jab savere nahā kar chamakdār ā.ankhoñ meñ kājal laboñ par lipstick
lagā kar
vo ghar se nikaltī
ghane giile bāloñ se aatī huī garm ḳhushbū se
kitnoñ ke dil Dol jaate
qadam Dagmagāte
vahāñ kaam zyāda thā lekin sab afsar
use dekh kar muskurāte aur izzat se har baat karte
na be-kār meñ DāñTte aur na fāzil savālāt karte
jo ik mehrbānī meñ thā sab se baḌh kar
baḌī tar nigāhoñ se us kī taraf dekhtā
par kabhī kuchh na kahtā
ki is mehrbāñ narm-guftār afsar pe biivī kī bātoñ kā
ik baar rahtā
jise vo baḌī jāñ-fishānī se sahtā
magar vo koī māh-rū bhī nahī thī
so thoḌe bahut khāte-pīte gharoñ se
jo aate to bejoḌ rañDuoñ ke rishte hī aate
koī ittifāqan jo kam-umr hotā
to ḳhvāhish bahut kulbulātī
magar kyā vo kartī
ki aisoñ kī tanḳhvāh bhī kam nikaltī
jo hotī vo aadhī to pahle hī biisī meñ Daltī
so shādī jo kartī to ammāñ ko kyūñkar khilātī
vo chhoTe ko kaise paḌhātī
ye sab soch kar aap hī aap vo muskurātī
baḌī ḳhush-lihāzī se inkār meñ sar hilātī
chhapar-khaT pe ammāñ ke paañv dabātī
vahīñ baiThe baiThe hue uuñgh jaatī
us ne jun-tun paDha
pas bhi ho gai
kuchh dinon ke liye nowelon hindi filmon chalittar saheli ki baaton
mazedar sapnon mein bhi kho gai
KHud-baKHud apne har shauq se aashna ho gai
aur phir ek itwar ko
us ke donon baDe bhaiyon bhabiyon ne
hisab aur chulhe alag jab kiye
us ne amman ko KHud-e'timadi se dekha
ki ab us ke apne dupaTTe qamis aur shalwar chappal ke joDe
namak mirch aalu maTar pyaz lahsan chuqandar TamaTar
podina, kaDhi pat zira, masale,
chune mung mash aur masur, sari dalen
mahine mein do bar qima ya murghi ka salan
chhaTi class mein paDhne wale ghabi chhoTe bhai ki Tuition
kitabon ka KHarcha
ye sab us akeli ki hai zimmedari
so jab naukri DhunDte DhunDte arziyan dete dete
kai din hue
to use yuni-centre mein ek aam si naukri mil gai
jab sawere naha kar chamakdar aaankhon mein kajal labon par lipstick
laga kar
wo ghar se nikalti
ghane gile baalon se aati hui garm KHushbu se
kitnon ke dil Dol jate
qadam Dagmagate
wahan kaam zyaada tha lekin sab afsar
use dekh kar muskuraate aur izzat se har baat karte
na be-kar mein DanTte aur na fazil sawalat karte
jo ek mehrbani mein tha sab se baDh kar
baDi tar nigahon se us ki taraf dekhta
par kabhi kuchh na kahta
ki is mehrban narm-guftar afsar pe biwi ki baaton ka
ek bar rahta
jise wo baDi jaan-fishani se sahta
magar wo koi mah-ru bhi nahi thi
so thoDe bahut khate-pite gharon se
jo aate to bejoD ranDuon ke rishte hi aate
koi ittifaqan jo kam-umr hota
to KHwahish bahut kulbulati
magar kya wo karti
ki aison ki tanKHwah bhi kam nikalti
jo hoti wo aadhi to pahle hi bisi mein Dalti
so shadi jo karti to amman ko kyunkar khilati
wo chhoTe ko kaise paDhati
ye sab soch kar aap hi aap wo muskuraati
baDi KHush-lihazi se inkar mein sar hilati
chhapar-khaT pe amman ke panw dabaati
wahin baiThe baiThe hue ungh jati
- Book : ishq ki taqweem men (Pg. 147)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.