reading room
mez par aḳhbār ke phaile varaq
bikhre bikhre tiira tiira chaak chaak
Dhal ga.ī hai qālib-e-alfāz meñ
sīna-e-hastī kī āh-e-dardnāk
paas hī dīvār ko Teke hue
radio garm-e-suḳhan mahv-e-bayāñ
chīḳhtī haiñ jāma-e-āvāz meñ
ḳhuun ke chhīñTe lahū kī būñdiyāñ
shaam reading room kī maġhmūm shaam
chand kaan elānchī kī baat par
chand āñkheñ soch meñ Duubī huiiñ
murtakiz aḳhbār ke safhāt par
ek kamre meñ simaT kar aa ga.e
kitne dukhḌoñ ke sadā-paikar hurūf
kitne dardoñ ke mistar zamzame
kitne andhe gyānī bahre falyasūf
phir bhī kuchh idrāk meñ aatā nahīñ
kyā hai raqs-e-gardish-e-ayyām kyā
ik shikasta naav ik ḳhūnī bhañvar
kyā hai is afsāne kā anjām kyā
ye mufakkir kuchh samajh sakte nahīñ
chhat ke nīche rauzanoñ ke darmiyāñ
gol gol āñkhoñ ke andar mahv-e-dīd
kaale paare kī muraqqas putliyāñ
kaash ye hairāñ kabūtar jānte
ḳhufta hai un kāġhazoñ kī satah par
kitne phanakte āshiyānoñ kā dhuāñ
kitne naḳhchīroñ kī aahoñ ke sharar
haiñ in āvāzoñ ke andar par-kushā
kitne kargas jin ko murdāroñ kī bū
khīñch laa.ī hai sar-e-dīvār-e-bāġh
chhat ke nīche muztarib nazzāra-ḳhū
fikrmand āñkhoñ meñ hairāñ putliyāñ
ye kabūtar dekhte thakte nahīñ
dekhte haiñ sochte haiñ kyā kareñ
ye mufakkir kuchh samajh sakte nahīñ
mez par aKHbar ke phaile waraq
bikhre bikhre tera tera chaak chaak
Dhal gai hai qalib-e-alfaz mein
sina-e-hasti ki aah-e-dardnak
pas hi diwar ko Teke hue
radio garm-e-suKHan mahw-e-bayan
chiKHti hain jama-e-awaz mein
KHun ke chhinTe lahu ki bundiyan
sham reading room ki maghmum sham
chand kan elanchi ki baat par
chand aankhen soch mein Dubi huin
murtakiz aKHbar ke safhat par
ek kamre mein simaT kar aa gae
kitne dukhDon ke sada-paikar huruf
kitne dardon ke mistar zamzame
kitne andhe gyani bahre falyasuf
phir bhi kuchh idrak mein aata nahin
kya hai raqs-e-gardish-e-ayyam kya
ek shikasta naw ek KHuni bhanwar
kya hai is afsane ka anjam kya
ye mufakkir kuchh samajh sakte nahin
chhat ke niche rauzanon ke darmiyan
gol gol aankhon ke andar mahw-e-did
kale pare ki muraqqas putliyan
kash ye hairan kabutar jaante
KHufta hai un kaghazon ki satah par
kitne phanakte aashiyanon ka dhuan
kitne naKHchiron ki aahon ke sharar
hain in aawazon ke andar par-kusha
kitne kargas jin ko murdaron ki bu
khinch lai hai sar-e-diwar-e-bagh
chhat ke niche muztarib nazzara-KHu
fikrmand aankhon mein hairan putliyan
ye kabutar dekhte thakte nahin
dekhte hain sochte hain kya karen
ye mufakkir kuchh samajh sakte nahin
- Book : Kulliyaat-e-majiid Amjad (Pg. 262)
- Author : Majiid Amjad
- Publication : Farid Book Depot (p) Ltd. (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.