reg-e-diroz
ham mohabbat ke ḳharāboñ ke makīñ
vaqt ke tūl-e-alamnāk ke parvarda haiñ
ek tārīk azal nūr-e-abad se ḳhālī
ham jo sadiyoñ se chale haiñ to samajhte haiñ ki sāhil paayā
apnī tahzīb kī pākobī kā hāsil paayā
ham mohabbat ke nihāñ-ḳhānoñ meñ basne vaale
apnī pāmālī ke afsānoñ pe hañsne vaale
ham samajhte haiñ nishān-e-sar-e-manzil paayā
ham mohabbat ke ke ḳharāboñ ke makīñ
kunj-e-māzī meñ haiñ bārāñ-zada taa.ir kī tarah āsūda
aur kabhī fitna-e-nāgāh se Dar kar chauñkeñ
to raheñ sidd-e-nigāh niiñd ke bhārī parde
ham mohabbat ke ḳharāboñ ke makīñ!
aaise tārīk ḳharābe ki jahāñ
duur se tez palaT jaa.eñ ziyā ke aahū
ek bas ek sadā gūñjtī ho
shab-e-ālām kī ''yāhū! yāhū''
ham mohabbat ke ḳharāboñ ke makīñ
reg-e-dīroz meñ ḳhvāboñ ke shajar bote rahe
saaya nāpaid thā saa.e kī tamannā ke tale sote rahe
hum mohabbat ke KHarabon ke makin
waqt ke tul-e-alamnak ke parwarda hain
ek tarik azal nur-e-abad se KHali
hum jo sadiyon se chale hain to samajhte hain ki sahil paya
apni tahzib ki pakobi ka hasil paya
hum mohabbat ke nihan-KHanon mein basne wale
apni pamali ke afsanon pe hansne wale
hum samajhte hain nishan-e-sar-e-manzil paya
hum mohabbat ke ke KHarabon ke makin
kunj-e-mazi mein hain baran-zada tair ki tarah aasuda
aur kabhi fitna-e-nagah se Dar kar chaunken
to rahen sidd-e-nigah nind ke bhaari parde
hum mohabbat ke KHarabon ke makin!
aaise tarik KHarabe ki jahan
dur se tez palaT jaen ziya ke aahu
ek bas ek sada gunjti ho
shab-e-alam ki yahu! yahu
hum mohabbat ke KHarabon ke makin
reg-e-diroz mein KHwabon ke shajar bote rahe
saya napaid tha sae ki tamanna ke tale sote rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.