regression
ajiib sī sadā sunī
sadā-e-be-riyā sunī
jo nafratoñ ke baab haiñ
jo makr ke sarāb haiñ
jo aql ke javāb haiñ
haqīqatoñ se dūr-tar
hijāb-dar-hijāb haiñ
jo buġhz haiñ inaad haiñ
yaqīñ karo azaab haiñ
azaab sah rahe ho kyoñ
diloñ ke taar joḌ do
ye nafratoñ kī beḌiyāñ
mohabbatoñ se toḌ do
na nafratoñ kā zor ho
na zulmatoñ kā daur ho
na siskiyoñ kā shor ho
na hirs ho na jaur ho
jahān koī aur ho
jafā jahāñ harām ho
vafā kā faiz aam ho
sukūn ho amaan ho
diloñ meñ itmīnān ho
hayāt yuuñ hasīn ho
ki rashk jannateñ kareñ
zamīn vo zamīn ho
samā.atoñ ko chhīn lo
magar mujhe yaqīn hai
ye guuñj phir sunoge tum
palaT ke lauT aa.egī
yahī sadā-e-be-riyā
diloñ ko khaTkhaTā.egī
samā.atoñ ko chhīn lo
magar mujhe yaqīn hai
yaqīn hai yaqīn hai
ye baar baar aa.egī
sunoge baar baar tum
ye aam sī sadā nahīñ
ki ishq bāzgasht hai
ye ishq bāzgasht hai
ye ishq bāzgasht hai
ajib si sada suni
sada-e-be-riya suni
jo nafraton ke bab hain
jo makr ke sarab hain
jo aql ke jawab hain
haqiqaton se dur-tar
hijab-dar-hijab hain
jo bughz hain inad hain
yaqin karo azab hain
azab sah rahe ho kyon
dilon ke tar joD do
ye nafraton ki beDiyan
mohabbaton se toD do
na nafraton ka zor ho
na zulmaton ka daur ho
na siskiyon ka shor ho
na hirs ho na jaur ho
jahan koi aur ho
jafa jahan haram ho
wafa ka faiz aam ho
sukun ho aman ho
dilon mein itminan ho
hayat yun hasin ho
ki rashk jannaten karen
zamin wo zamin ho
samaaton ko chhin lo
magar mujhe yaqin hai
ye gunj phir sunoge tum
palaT ke lauT aaegi
yahi sada-e-be-riya
dilon ko khaTkhaTaegi
samaaton ko chhin lo
magar mujhe yaqin hai
yaqin hai yaqin hai
ye bar bar aaegi
sunoge bar bar tum
ye aam si sada nahin
ki ishq bazgasht hai
ye ishq bazgasht hai
ye ishq bazgasht hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.