rehan-siddiqi ki yaad mein
jaane kitne hī rāteñ hoñgī
jaane kitne hī din hoñge
jo tumhārī bedārī aur niiñd meñ
chaa.e kī pyāliyoñ meñ
aur mohabbat karne vāloñ ke diloñ meñ zinda haiñ
maiñ tumhārī āvāz to ab bhī sun rahā huuñ
ka.ī dinoñ se merā phone jo band rahā
vo ab merī ruuh meñ khul gayā hai
aur hamārī rūhoñ ke darmiyān koī fāsla nahīñ
kaun kahtā hai ki tumheñ duniyā pasand nahīñ aa.ī
to tum ne duniyā chhoḌ dī
abhī to tashkīl ke ka.ī safhāt kī tartīb baaqī hai
abhī to tumheñ bahutoñ ke zamīr par paḌe hue
parde uThāne haiñ
abhī to shība oven meñ jo cake tayyār kar rahī hai
use khānā baaqī hai
abhī to injalā tum se merī jo shikāyat karne vaalī hai
ki maiñ ne ye nahīñ kiyā
maiñ ne vo nahīñ kiyā
goyā tumhāre mashvaroñ par
na.e sire se kaan dharnā hai
abhī to ka.ī kaam baaqī haiñ
bhābhī ko banārsī siva.iyāñ tayyār karnī haiñ
abhī to tāsīr tausīf aur शरजील
tumhārī āvāz sunñe ke muntazir haiñ
abhī to mahbūb-'ḳhizāñ' tumheñ abad-ul-abād ke liye
cigarette chhoḌne kā mashvara dene vaale haiñ
maiñ tumhārī āvāz to ab bhī sun rahā huuñ
bāġh-o-bahār aadmī to kabhī nahīñ martā
tumhārī bāġh-o-bahār āvāz to maiñ ab bhī sun rahā huuñ
jaane kitne hi raaten hongi
jaane kitne hi din honge
jo tumhaari bedari aur nind mein
chae ki pyaliyon mein
aur mohabbat karne walon ke dilon mein zinda hain
main tumhaari aawaz to ab bhi sun raha hun
kai dinon se mera phone jo band raha
wo ab meri ruh mein khul gaya hai
aur hamari ruhon ke darmiyan koi fasla nahin
kaun kahta hai ki tumhein duniya pasand nahin aai
to tum ne duniya chhoD di
abhi to tashkil ke kai safhat ki tartib baqi hai
abhi to tumhein bahuton ke zamir par paDe hue
parde uThane hain
abhi to shiba owen mein jo cake tayyar kar rahi hai
use khana baqi hai
abhi to injala tum se meri jo shikayat karne wali hai
ki main ne ye nahin kiya
main ne wo nahin kiya
goya tumhaare mashwaron par
nae sire se kan dharna hai
abhi to kai kaam baqi hain
bhabhi ko banarsi siwaiyan tayyar karni hain
abhi to tasir tausif aur शरजील
tumhaari aawaz sunne ke muntazir hain
abhi to mahbub-'KHizan' tumhein abad-ul-abaad ke liye
cigarette chhoDne ka mashwara dene wale hain
main tumhaari aawaz to ab bhi sun raha hun
bagh-o-bahaar aadmi to kabhi nahin marta
tumhaari bagh-o-bahaar aawaz to main ab bhi sun raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.