reincarnation
mire āñgan meñ bikhre zard patte
mujhe hamrāz lagte haiñ
ye jab halkī havā kī sarsarāhaT se larazte haiñ
to yuuñ lagtā hai jaise
un pe koī bhed sā khulne lagā hai
jaise un ko bāvar ho gayā hai
ki ḳhud shāḳhoñ ne be-parvā.ī se dāman chhuḌāyā hai
zamīñ ne bhī nigāheñ pher lī haiñ
unheñ mālūm hai shāyad
zamīñ pairoñ tale hī jab na ho to
jitnā marzī sar paTaḳh leñ
Tahniyoñ ko thaam leñ
be-fā.eda hai
ab unheñ be-āsrā rahnā paḌegā
kabhī pairoñ meñ aa kar charmarānā
havā ke dosh par uḌte
bikharte hī chale jaanā paḌegā
vajūd apnā kisī gumnām goshe meñ chhupā kar rā.igānī kī aziyyat un ko sahte hī chale jaanā paḌegā
ḳhayāl aatā hai
kitnī be-nishāñ be-mol be-vaq.at sī un kī zindagī hai
magar ye be-nishānī jin ḳhalāoñ ko janam detī hai
unheñ bharne ko jīvan koñpaloñ se āḳhir ik din phūTtā hai
yahī ik soch mujh ko
apne āñgan meñ bikharte charmarāte zard pattoñ se
bahut mānūs rakhtī hai
bahut nazdīk rakhtī hai
mere aangan mein bikhre zard patte
mujhe hamraaz lagte hain
ye jab halki hawa ki sarsarahaT se larazte hain
to yun lagta hai jaise
un pe koi bhed sa khulne laga hai
jaise un ko bawar ho gaya hai
ki KHud shaKHon ne be-parwai se daman chhuDaya hai
zamin ne bhi nigahen pher li hain
unhen malum hai shayad
zamin pairon tale hi jab na ho to
jitna marzi sar paTaKH len
Tahniyon ko tham len
be-faeda hai
ab unhen be-asra rahna paDega
kabhi pairon mein aa kar charmarana
hawa ke dosh par uDte
bikharte hi chale jaana paDega
wajud apna kisi gumnam goshe mein chhupa kar raigani ki aziyyat un ko sahte hi chale jaana paDega
KHayal aata hai
kitni be-nishan be-mol be-waqat si un ki zindagi hai
magar ye be-nishani jin KHalaon ko janam deti hai
unhen bharne ko jiwan konpalon se aaKHir ek din phuTta hai
yahi ek soch mujh ko
apne aangan mein bikharte charmaraate zard patton se
bahut manus rakhti hai
bahut nazdik rakhti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.