reip
maiñ apne andar kisī ḳhalā meñ bhaTak rahī thī
udhaḌ rahī thī
magar vahāñ sirf ik badan thā
jo nāḳhunoñ se vajūd se ruuh chhīltā thā
udhaḌtī sāñsoñ pe daañt apne chubho rahā thā
maiñ dard-e-zeh se bhī surḳh-rū ho ke aane vaalī
maiñ āshnā-e-aziyyat-e-taḳhlīq
ik tamasḳhur se
ek taz.hīk ke gumāñ se
ḳhud apnī aahaT kī siskiyoñ par
laraz rahī thī
darindagān-e-vajūd lekin
tamām rishtoñ kī gāliyoñ meñ
ḳhud apnī ta.amīr ke dho.eñ se
yaqīñ kī chādar chabā rahe the
vo dard-lamha
ḳharāsh ho kar guzar rahā thā
vahāñ faqat zabt mo.ajiza thā
ḳhudā kahīñ paas hī khaḌā thā
use kahāñ dard kā patā thā
meñ apne andar kisī ḳhalā meñ bhaTak rahī thī
udhaḌ rahī thī
main apne andar kisi KHala mein bhaTak rahi thi
udhaD rahi thi
magar wahan sirf ek badan tha
jo naKHunon se wajud se ruh chhilta tha
udhaDti sanson pe dant apne chubho raha tha
main dard-e-zeh se bhi surKH-ru ho ke aane wali
main aashna-e-aziyyat-e-taKHliq
ek tamasKHur se
ek tazhik ke guman se
KHud apni aahaT ki siskiyon par
laraz rahi thi
darindagan-e-wajud lekin
tamam rishton ki galiyon mein
KHud apni tamir ke dhoen se
yaqin ki chadar chaba rahe the
wo dard-lamha
KHarash ho kar guzar raha tha
wahan faqat zabt moajiza tha
KHuda kahin pas hi khaDa tha
use kahan dard ka pata tha
mein apne andar kisi KHala mein bhaTak rahi thi
udhaD rahi thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.