remote
damakte chehre ghanerī zulfeñ
ye sarsarāte havāoñ jaise libās jismoñ kā bāñkpan dilrubā adā.eñ
ye jhilmilāte makān rañgīn shahr chamkīlī careñ
ye sab manāzir jo rāhatoñ ke sarāb dikhlā ke
ḳhvāhishoñ ke latīf paikar tarāsh kar ḳhvāb bechte haiñ
bahut hasīñ haiñ
ye kyā huā bas palak jhapakte hī saare manzar badal ga.e haiñ
ye ḳhuuñ meñ Duube hue manāzir kahāñ se aa.e
ye maañ kahāñ kī hai kaun hai apne beTe kī laash par sar paTak rahī hai
nayā dhamāka kahāñ huā hai
ye kaun haiñ kyā shahīd haiñ jin ke jismoñ se bam bañdhe haiñ
jo in dhamākoñ meñ jāñ-ba-haq saikḌoñ hue haiñ
shahīd vo haiñ
ye kaun sā shahr kyā jagah hai
jahāñ pe sailāb ne phir se qahr Dhāyā
ye zalzala phir kahāñ pe aayā
fasād phir ho gayā kahīñ par
ye kyā jagah hai
ye kaun ma.asūm bachchiyoñ ke burīda jismoñ ko DhūñDhtā hai
ye barbariyat ke sansanī-ḳhez manzar
bahut hī tafsīl se chal rahe haiñ
kahāñ kahāñ se talāsh kar ke dikhā rahe haiñ
mujhe pata hai
ye ālamī gaañv kā hai manzar
are ḳhudā ke liye badal do
remote laao baTan dabāo
ye Thiik hai haañ ye hī lagā lo
sajī banī auratoñ ke qisse jo apne jannat-numā makānoñ meñ
jaal sāzish ke bun rahī haiñ
ye bevafā.ī ke ranjishoñ ke
jo silsile haiñ
chalo phir in meñ hī sar khapā.eñ
ye bhuul jaa.eñ ki saarī duniyā meñ vahshatoñ kā hai raqs jaarī
damakte chehre ghaneri zulfen
ye sarsaraate hawaon jaise libas jismon ka bankpan dilruba adaen
ye jhilmilate makan rangin shahr chamkili caren
ye sab manazir jo rahaton ke sarab dikhla ke
KHwahishon ke latif paikar tarash kar KHwab bechte hain
bahut hasin hain
ye kya hua bas palak jhapakte hi sare manzar badal gae hain
ye KHun mein Dube hue manazir kahan se aae
ye man kahan ki hai kaun hai apne beTe ki lash par sar paTak rahi hai
naya dhamaka kahan hua hai
ye kaun hain kya shahid hain jin ke jismon se bam bandhe hain
jo in dhamakon mein jaan-ba-haq saikDon hue hain
shahid wo hain
ye kaun sa shahr kya jagah hai
jahan pe sailab ne phir se qahr Dhaya
ye zalzala phir kahan pe aaya
fasad phir ho gaya kahin par
ye kya jagah hai
ye kaun masum bachchiyon ke burida jismon ko DhunDhta hai
ye barbariyat ke sansani-KHez manzar
bahut hi tafsil se chal rahe hain
kahan kahan se talash kar ke dikha rahe hain
mujhe pata hai
ye aalami ganw ka hai manzar
are KHuda ke liye badal do
remote lao baTan dabao
ye Thik hai han ye hi laga lo
saji bani auraton ke qisse jo apne jannat-numa makanon mein
jal sazish ke bun rahi hain
ye bewafai ke ranjishon ke
jo silsile hain
chalo phir in mein hi sar khapaen
ye bhul jaen ki sari duniya mein wahshaton ka hai raqs jari
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.