rengte sae gali-gali
gahrī anjānī pātāl kī andhī tah meñ
añdhiyāroñ ke dev chhupe haiñ
kaale jaale paḌī surangoñ ke
raste be-nūr paḌe haiñ
apne hāthoñ ujle gore chāñd sajānā
andar jaanā
soch rahā huuñ
jis ne aisī baat kahī thī
us kī duniyā
sūraj sūraj raushan hogī
kaale saa.e sirf surangoñ
yā pātāl meñ rahte hoñge
yuuñ insānoñ kī bastī meñ
galī-galī kab phirte hoñge
gahri anjaani patal ki andhi tah mein
andhiyaron ke dew chhupe hain
kale jale paDi surangon ke
raste be-nur paDe hain
apne hathon ujle gore chand sajaana
andar jaana
soch raha hun
jis ne aisi baat kahi thi
us ki duniya
suraj suraj raushan hogi
kale sae sirf surangon
ya patal mein rahte honge
yun insanon ki basti mein
gali-gali kab phirte honge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.