reprisal
isfanj numā jism phūle hue hoñge
murda machhlī ghaas ugal degī
ġhair mutavāzī aur ta.affun-zada ḳhaliyoñ ko
nāmyātī zarre chabā jā.eñge
jin se dhātī thakan kashīd kī jā.egī
kyā ham nahīñ jānte
haDDiyoñ aur nāḳhunoñ ke TukḌoñ se
ḳhudā-e-zard-rū apnī āḳhirī jañg ke vāste
kartōs aur gun powder banā rahā hai
ham yaqīnan be-ḳhabar haiñ
ḳhudā ke nathnoñ se bahtī vahshat kā irtikāz
aur mirrīḳhī bāshinde kī chīḳh ham par TuuT paḌegī
jīniyātī adam-e-taġhayyur ke bāvajūd paidā.eshī ma.azūr bachche ke liye
baukhalāhaT aur bad-hai.atī kā mahlūl piitī huī būḌhiyāñ
nahūsat ke avvalīñ dinoñ meñ
black widow kī raal se niilī rageñ kaat rahī hoñgī
bāñjh aurat kā tarāna hamārā qaumī giit hogā
ba.ad-az-marg hone vaalī saḳhtī kā virus
lams-ālūd a.azā ke shagāfoñ meñ kuud paḌegā
nākāra jahāz ke propeller ke mānind
yā phir
adheḌ umr kisān kī bad-duā meñ khanakte
mazmūm aur na.ash ḳhurda khet ke jaise
jism jin meñ shahvat kī miqdār sifar hai akaḌ jā.eñge
aur phir taḌāḳh se TuuT jā.eñge
ham vo murdār log haiñ jo samajhte the
hameñ synesthesia se najāt mil ga.ī thī
isfanj numa jism phule hue honge
murda machhli ghas ugal degi
ghair mutawazi aur taffun-zada KHaliyon ko
namyati zarre chaba jaenge
jin se dhati thakan kashid ki jaegi
kya hum nahin jaante
haDDiyon aur naKHunon ke TukDon se
KHuda-e-zard-ru apni aaKHiri jang ke waste
kartoos aur gun powder bana raha hai
hum yaqinan be-KHabar hain
KHuda ke nathnon se bahti wahshat ka irtikaz
aur mirriKHi bashinde ki chiKH hum par TuT paDegi
jiniyati adam-e-taghayyur ke bawajud paidaeshi mazur bachche ke liye
baukhalahaT aur bad-haiati ka mahlul piti hui buDhiyan
nahusat ke awwalin dinon mein
black widow ki ral se nili ragen kat rahi hongi
banjh aurat ka tarana hamara qaumi git hoga
baad-az-marg hone wali saKHti ka wirus
lams-alud aaza ke shagafon mein kud paDega
nakara jahaz ke propeller ke manind
ya phir
adheD umr kisan ki bad-dua mein khanakte
mazmum aur nash KHurda khet ke jaise
jism jin mein shahwat ki miqdar sifar hai akaD jaenge
aur phir taDaKH se TuT jaenge
hum wo murdar log hain jo samajhte the
hamein synesthesia se najat mil gai thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.