Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aazadi

MORE BYAli Sardar Jafri

    pūchhtā hai to ki kab aur kis tarah aatī huuñ maiñ

    god meñ nākāmiyoñ ke parvarish paatī huuñ maiñ

    sirf vo maḳhsūs siine haiñ mirī ārām-gāh

    aarzū tarah rah jaatī hai jin meñ ghuT ke aah

    ahl-e-ġham ke saath un dard-o-ġham sahtī huuñ maiñ

    kāñpte hoñToñ pe ban kar bad-duā rahtī huuñ maiñ

    raqs kartī haiñ ishāroñ par mire maut-o-hayāt

    dekhtī rahtī huuñ maiñ har-vaqt nabz-e-kā.enāt

    ḳhud-farebī baḌh ke jab bantī hai ehsās-e-shu.ūr

    jab javāñ hotā hai ahl-e-zar ke tevar meñ ġhurūr

    muflisī se karte haiñ jab ādamiyat ko judā

    jab lahū piite haiñ tahzīb-o-tamaddun ke ḳhudā

    bhuut ban kar nāchtā hai sar pe jab qaumī vaqār

    le ke maz.hab sipar aatā hai jab sarmāya-dār

    rāste jab band hote haiñ duāoñ ke liye

    aadmī laḌtā hai jab jhūTe ḳhudāoñ ke liye

    zindagī insāñ kar detā hai jab insāñ harām

    jab use qānūn-e-fitrat atā hotā hai naam

    ahrman phirtā hai jab apnā dahan khole hue

    āsmāñ se maut jab aatī hai par tole hue

    jab kisānoñ nigāhoñ se Tapaktā hai hirās

    phūTne lagtī hai jab mazdūr ke zaḳhmoñ se yaas

    sabr-e-ayyūbī jab labrez hotā hai subū

    soz-e-ġham se khaultā hai jab ġhulāmoñ lahu

    ġhāsiboñ se baḌh ke jab kartā hai haq apnā savāl

    jab nazar aatā hai mazlūmoñ ke chehroñ par jalāl

    tafraqa paḌtā hai jab duniyā meñ nasl-o-rañg

    le ke maiñ aatī huuñ parcham inqilāb-o-jañg

    haañ magar jab TuuT jaatī hai havādis kamand

    jab kuchal detā hai har shai ko baġhāvat samand

    jab nigal letā hai tūfāñ baḌh ke kashtī nuuh

    ghuT ke jab insān meñ rah jaatī hai azmat ruuh

    duur ho jaatī hai jab mazdūroñ ke dil jalan

    jab tabassum ban ke hoñToñ par simaTtī hai thakan

    jab ubhartā hai ufuq se zindagī āftāb

    jab nikhartā hai lahū aag meñ tap kar shabāb

    nasl qaumiyyat kalīsā saltanat tahzīb-o-rañg

    rauñd chuktī hai jab in sab ko javānī umañg

    sub.h ke zarrīñ tabassum meñ ayaañ hotī huuñ maiñ

    rif.at-e-arsh-e-barīñ se par-fishāñ hotī huuñ maiñ

    puchhta hai to ki kab aur kis tarah aati hun main

    god mein nakaamiyon ke parwarish pati hun main

    sirf wo maKHsus sine hain meri aaram-gah

    aarzu ki tarah rah jati hai jin mein ghuT ke aah

    ahl-e-gham ke sath un ka dard-o-gham sahti hun main

    kanpte honTon pe ban kar bad-dua rahti hun main

    raqs karti hain ishaaron par mere maut-o-hayat

    dekhti rahti hun main har-waqt nabz-e-kaenat

    KHud-farebi baDh ke jab banti hai ehsas-e-shuur

    jab jawan hota hai ahl-e-zar ke tewar mein ghurur

    muflisi se karte hain jab aadamiyat ko juda

    jab lahu pite hain tahzib-o-tamaddun ke KHuda

    bhut ban kar nachta hai sar pe jab qaumi waqar

    le ke mazhab ki sipar aata hai jab sarmaya-dar

    raste jab band hote hain duaon ke liye

    aadmi laDta hai jab jhuTe KHudaon ke liye

    zindagi insan ki kar deta hai jab insan haram

    jab use qanun-e-fitrat ka ata hota hai nam

    ahrman phirta hai jab apna dahan khole hue

    aasman se maut jab aati hai par tole hue

    jab kisanon ki nigahon se Tapakta hai hiras

    phuTne lagti hai jab mazdur ke zaKHmon se yas

    sabr-e-ayyubi ka jab labrez hota hai subu

    soz-e-gham se khaulta hai jab ghulamon ka lahu

    ghasibon se baDh ke jab karta hai haq apna sawal

    jab nazar aata hai mazlumon ke chehron par jalal

    tafraqa paDta hai jab duniya mein nasl-o-rang ka

    le ke main aati hun parcham inqilab-o-jang ka

    han magar jab TuT jati hai hawadis ki kamand

    jab kuchal deta hai har shai ko baghawat ka samand

    jab nigal leta hai tufan baDh ke kashti nuh ki

    ghuT ke jab insan mein rah jati hai azmat ruh ki

    dur ho jati hai jab mazduron ke dil ki jalan

    jab tabassum ban ke honTon par simaTti hai thakan

    jab ubharta hai ufuq se zindagi ka aaftab

    jab nikharta hai lahu ki aag mein tap kar shabab

    nasl qaumiyyat kalisa saltanat tahzib-o-rang

    raund chukti hai jab in sab ko jawani ki umang

    subh ke zarrin tabassum mein ayan hoti hun main

    rifat-e-arsh-e-barin se par-fishan hoti hun main

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now