zabāñ tum kaaT lo yā phir lagā do hoñTh par taale
mirī āvāz par koī bhī pahra ho nahīñ saktā
mujhe tum band kar do tīrgī meñ yā salāḳhoñ meñ
parinda soch kā lekin ye Thahrā ho nahīñ saktā
agar tum phūñk kar sūraj bujhā doge to sun lo phir
jalā kar zehn ye apnā ujālā chhāñT lūñgā maiñ
siyāhī ḳhatm ho.egī qalam jab TuuT jā.egā
to apne ḳhuun meñ uñglī Dubā kar sach likhūñgā maiñ
zaban tum kaT lo ya phir laga do honTh par tale
meri aawaz par koi bhi pahra ho nahin sakta
mujhe tum band kar do tirgi mein ya salaKHon mein
parinda soch ka lekin ye Thahra ho nahin sakta
agar tum phunk kar suraj bujha doge to sun lo phir
jala kar zehn ye apna ujala chhanT lunga main
siyahi KHatm hoegi qalam jab TuT jaega
to apne KHun mein ungli Duba kar sach likhunga main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.