aazadi
pūchhtā hai to ki kab aur kis tarah aatī huuñ maiñ
god meñ nākāmiyoñ ke parvarish paatī huuñ maiñ
sirf vo maḳhsūs siine haiñ mirī ārām-gāh
aarzū kī tarah rah jaatī hai jin meñ ghuT ke aah
ahl-e-ġham ke saath un kā dard-o-ġham sahtī huuñ maiñ
kāñpte hoñToñ pe ban kar bad-duā rahtī huuñ maiñ
raqs kartī haiñ ishāroñ par mire maut-o-hayāt
dekhtī rahtī huuñ maiñ har-vaqt nabz-e-kā.enāt
ḳhud-farebī baḌh ke jab bantī hai ehsās-e-shu.ūr
jab javāñ hotā hai ahl-e-zar ke tevar meñ ġhurūr
muflisī se karte haiñ jab ādamiyat ko judā
jab lahū piite haiñ tahzīb-o-tamaddun ke ḳhudā
bhuut ban kar nāchtā hai sar pe jab qaumī vaqār
le ke maz.hab kī sipar aatā hai jab sarmāya-dār
rāste jab band hote haiñ duāoñ ke liye
aadmī laḌtā hai jab jhūTe ḳhudāoñ ke liye
zindagī insāñ kī kar detā hai jab insāñ harām
jab use qānūn-e-fitrat kā atā hotā hai naam
ahrman phirtā hai jab apnā dahan khole hue
āsmāñ se maut jab aatī hai par tole hue
jab kisānoñ kī nigāhoñ se Tapaktā hai hirās
phūTne lagtī hai jab mazdūr ke zaḳhmoñ se yaas
sabr-e-ayyūbī kā jab labrez hotā hai subū
soz-e-ġham se khaultā hai jab ġhulāmoñ kā lahu
ġhāsiboñ se baḌh ke jab kartā hai haq apnā savāl
jab nazar aatā hai mazlūmoñ ke chehroñ par jalāl
tafraqa paḌtā hai jab duniyā meñ nasl-o-rañg kā
le ke maiñ aatī huuñ parcham inqilāb-o-jañg kā
haañ magar jab TuuT jaatī hai havādis kī kamand
jab kuchal detā hai har shai ko baġhāvat kā samand
jab nigal letā hai tūfāñ baḌh ke kashtī nuuh kī
ghuT ke jab insān meñ rah jaatī hai azmat ruuh kī
duur ho jaatī hai jab mazdūroñ ke dil kī jalan
jab tabassum ban ke hoñToñ par simaTtī hai thakan
jab ubhartā hai ufuq se zindagī kā āftāb
jab nikhartā hai lahū kī aag meñ tap kar shabāb
nasl qaumiyyat kalīsā saltanat tahzīb-o-rañg
rauñd chuktī hai jab in sab ko javānī kī umañg
sub.h ke zarrīñ tabassum meñ ayaañ hotī huuñ maiñ
rif.at-e-arsh-e-barīñ se par-fishāñ hotī huuñ maiñ
puchhta hai to ki kab aur kis tarah aati hun main
god mein nakaamiyon ke parwarish pati hun main
sirf wo maKHsus sine hain meri aaram-gah
aarzu ki tarah rah jati hai jin mein ghuT ke aah
ahl-e-gham ke sath un ka dard-o-gham sahti hun main
kanpte honTon pe ban kar bad-dua rahti hun main
raqs karti hain ishaaron par mere maut-o-hayat
dekhti rahti hun main har-waqt nabz-e-kaenat
KHud-farebi baDh ke jab banti hai ehsas-e-shuur
jab jawan hota hai ahl-e-zar ke tewar mein ghurur
muflisi se karte hain jab aadamiyat ko juda
jab lahu pite hain tahzib-o-tamaddun ke KHuda
bhut ban kar nachta hai sar pe jab qaumi waqar
le ke mazhab ki sipar aata hai jab sarmaya-dar
raste jab band hote hain duaon ke liye
aadmi laDta hai jab jhuTe KHudaon ke liye
zindagi insan ki kar deta hai jab insan haram
jab use qanun-e-fitrat ka ata hota hai nam
ahrman phirta hai jab apna dahan khole hue
aasman se maut jab aati hai par tole hue
jab kisanon ki nigahon se Tapakta hai hiras
phuTne lagti hai jab mazdur ke zaKHmon se yas
sabr-e-ayyubi ka jab labrez hota hai subu
soz-e-gham se khaulta hai jab ghulamon ka lahu
ghasibon se baDh ke jab karta hai haq apna sawal
jab nazar aata hai mazlumon ke chehron par jalal
tafraqa paDta hai jab duniya mein nasl-o-rang ka
le ke main aati hun parcham inqilab-o-jang ka
han magar jab TuT jati hai hawadis ki kamand
jab kuchal deta hai har shai ko baghawat ka samand
jab nigal leta hai tufan baDh ke kashti nuh ki
ghuT ke jab insan mein rah jati hai azmat ruh ki
dur ho jati hai jab mazduron ke dil ki jalan
jab tabassum ban ke honTon par simaTti hai thakan
jab ubharta hai ufuq se zindagi ka aaftab
jab nikharta hai lahu ki aag mein tap kar shabab
nasl qaumiyyat kalisa saltanat tahzib-o-rang
raund chukti hai jab in sab ko jawani ki umang
subh ke zarrin tabassum mein ayan hoti hun main
rifat-e-arsh-e-barin se par-fishan hoti hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.